ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta
ik baar jo kho jaa.e vo vaqt nahīñ miltā
jo phuul bikhar jaa.e vo murjhā ke nahīñ khiltā
jo vaqt milā ham ko allāh kī amānat hai
ik ḳhvāb kā chehrā hai ta.abīr kī sūrat hai
gar hukm na ho us kā pattā bhī nahīñ hiltā
ik baar jo kho jaa.e vo vaqt nahīñ miltā
mauqe kā bas ik Tāñkā to Tāñke bachātā hai
udhḌe hue dāman ko phaTne se bachātā hai
tāḳhīr jo ho jaa.e phir yūñhī nahīñ siltā
ik baar jo kho jaa.e vo vaqt nahīñ miltā
tauqīr karo us kī jo lamha mayassar hai
jo vaqt pe ho jaa.e bas kaam vo behtar hai
hāthoñ se phisal jaa.e jo baḳht nahīñ miltā
ik baar jo kho jaa.e vo vaqt nahīñ miltā
ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta
jo phul bikhar jae wo murjha ke nahin khilta
jo waqt mila hum ko allah ki amanat hai
ek KHwab ka chehra hai tabir ki surat hai
gar hukm na ho us ka patta bhi nahin hilta
ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta
mauqe ka bas ek Tanka to Tanke bachata hai
udhDe hue daman ko phaTne se bachata hai
taKHir jo ho jae phir yunhi nahin silta
ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta
tauqir karo us ki jo lamha mayassar hai
jo waqt pe ho jae bas kaam wo behtar hai
hathon se phisal jae jo baKHt nahin milta
ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.