chand nasihaten
kaaT lenā har kaThin manzil kā kuchh mushkil nahīñ
ik zarā insān meñ chalne kī himmat chāhiye
mil nahīñ saktī nikammoñ ko zamāne meñ murād
kāmyābī kī jo ḳhvāhish ho to mehnat chāhiye
ḳhaak mehnat ho sakegī ho na jab hāthoñ meñ zor
tandurustī ke liye varzish kī aadat chāhiye
ḳhush-mizājī sā zamāne meñ koī jaadū nahīñ
har koī tahsīñ kahe aisī tabī.at chāhiye
hañs ke milnā raam kar lenā har har insān ko
sab se mīThā bolne kī tum ko aadat chāhiye
ek hī allāh ke bande haiñ sab chhoTe baḌe
apne ham-jinsoñ se duniyā meñ mohabbat chāhiye
hai burā.ī hī burā.ī kaam kal par chhoḌnā
aaj sab kuchh kar ke uTho gar farāġhat chāhiye
jo buroñ ke paas baiThegā burā ho jā.egā
nek hone ke liye nekoñ kī sohbat chāhiye
saath vaale dekhnā tum se na baḌh jaa.eñ kahīñ
josh aisā chāhiye aisī hamiyyat chāhiye
hukmarāñ ho koī apnā ho yā begāna
dī ḳhudā ne jis ko izzat us kī izzat chāhiye
dekh kar chalnā kuchal jaa.e na chyūñTī raah meñ
aadmī ko be-zabānoñ se bhī ulfat chāhiye
hai isī meñ bhed izzat kā agar samjhe koī
chhoTe bachchoñ ko buzurgoñ kī itā.at chāhiye
ilm kahte haiñ jise sab se baḌī daulat hai ye
DhūñD lo is ko agar duniyā meñ izzat chāhiye
sab burā kahte haiñ laḌne ko burī aadat hai ye
saath ke laḌke jo hoñ un se rifāqat chāhiye
hoñ jamā.at meñ sharārat karne vaale bhī agar
duur kī un se faqat sāhab salāmat chāhiye
dekhnā aapas meñ phir nafrat na ho jaa.e kahīñ
is qadar had se ziyāda bhī na millat chāhiye
bāp-dādā kī baḌā.ī pe na itrānā kabhī
aadmī ko apne kāmoñ kī sharāfat chāhiye
gar kitābeñ ho ga.iiñ mailī to kyā paḌhne kā lutf
kaam kī chīzeñ haiñ jo un kī hifāzat chāhiye
kaT lena har kaThin manzil ka kuchh mushkil nahin
ek zara insan mein chalne ki himmat chahiye
mil nahin sakti nikammon ko zamane mein murad
kaamyabi ki jo KHwahish ho to mehnat chahiye
KHak mehnat ho sakegi ho na jab hathon mein zor
tandurusti ke liye warzish ki aadat chahiye
KHush-mizaji sa zamane mein koi jadu nahin
har koi tahsin kahe aisi tabiat chahiye
hans ke milna ram kar lena har har insan ko
sab se miTha bolne ki tum ko aadat chahiye
ek hi allah ke bande hain sab chhoTe baDe
apne ham-jinson se duniya mein mohabbat chahiye
hai burai hi burai kaam kal par chhoDna
aaj sab kuchh kar ke uTho gar faraghat chahiye
jo buron ke pas baiThega bura ho jaega
nek hone ke liye nekon ki sohbat chahiye
sath wale dekhna tum se na baDh jaen kahin
josh aisa chahiye aisi hamiyyat chahiye
hukmaran ho koi apna ho ya begana
di KHuda ne jis ko izzat us ki izzat chahiye
dekh kar chalna kuchal jae na chyunTi rah mein
aadmi ko be-zabanon se bhi ulfat chahiye
hai isi mein bhed izzat ka agar samjhe koi
chhoTe bachchon ko buzurgon ki itaat chahiye
ilm kahte hain jise sab se baDi daulat hai ye
DhunD lo is ko agar duniya mein izzat chahiye
sab bura kahte hain laDne ko buri aadat hai ye
sath ke laDke jo hon un se rifaqat chahiye
hon jamaat mein shararat karne wale bhi agar
dur ki un se faqat sahab salamat chahiye
dekhna aapas mein phir nafrat na ho jae kahin
is qadar had se ziyaada bhi na millat chahiye
bap-dada ki baDai pe na itrana kabhi
aadmi ko apne kaamon ki sharafat chahiye
gar kitaben ho gain maili to kya paDhne ka lutf
kaam ki chizen hain jo un ki hifazat chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.