chāñd pahle bhī ḳhūbsūrat thā
aaj bhī chāñd ḳhūbsūrat hai
log kahte haiñ chāñd ke andar
har taraf hai muhīb vīrānī
har qadam par bhaḌakte jvālā-mukhī
har taraf ret kī farāvānī
ek bhī chiiz fā.ede kī nahīñ
kyā havā kyā anaaj kyā paanī
chāñd bātin meñ bad-numā hī sahī
zāhiran ik hasīn mūrat hai
chāñd pahle bhī ḳhūbsūrat thā
aaj bhī chāñd ḳhūbsūrat hai
log kahte haiñ chāñd ke andar
har taraf ik ghanā añdherā hai
ye to sūraj se raushnī le kar
sūrat-e-ā.ina chamaktā hai
duniyā vāloñ ke vāste lekin
ab bhī ye ik hasīn jalva hai
chāñd kī pahle bhī zarūrat thī
aaj bhī chāñd kī zarūrat hai
chāñd pahle bhī ḳhūbsūrat thā
aaj bhī chāñd ḳhūbsūrat hai
chand pahle bhi KHubsurat tha
aaj bhi chand KHubsurat hai
log kahte hain chand ke andar
har taraf hai muhib virani
har qadam par bhaDakte jwala-mukhi
har taraf ret ki farawani
ek bhi chiz faede ki nahin
kya hawa kya anaj kya pani
chand baatin mein bad-numa hi sahi
zahiran ek hasin murat hai
chand pahle bhi KHubsurat tha
aaj bhi chand KHubsurat hai
log kahte hain chand ke andar
har taraf ek ghana andhera hai
ye to suraj se raushni le kar
surat-e-aina chamakta hai
duniya walon ke waste lekin
ab bhi ye ek hasin jalwa hai
chand ki pahle bhi zarurat thi
aaj bhi chand ki zarurat hai
chand pahle bhi KHubsurat tha
aaj bhi chand KHubsurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.