ammi
savere savere jagātī haiñ ammī
mire haath muñh phir dhulātī haiñ ammī
baḌe pyaar se gūñdhtī haiñ vo aaTā
tave par parāThe pakātī haiñ ammī
kabhī kaalī chaa.e kabhī gorī chaa.e
banā kar nivāle khilātī haiñ ammī
baḌe bhayyā ko saada roTī prosaiñ
satā kar unheñ khilkhilātī haiñ ammī
agar muñh phulā ke maiñ rūThoñ kabhī to
ba-har-taur mujh ko manātī haiñ ammī
magar abbū jab lauT aate haiñ ghar ko
to ham kaun haiñ bhuul jaatī haiñ ammī
sawere sawere jagati hain ammi
mere hath munh phir dhulati hain ammi
baDe pyar se gundhti hain wo aaTa
tawe par paraThe pakati hain ammi
kabhi kali chae kabhi gori chae
bana kar niwale khilati hain ammi
baDe bhayya ko sada roTi prosain
sata kar unhen khilkhilati hain ammi
agar munh phula ke main ruThon kabhi to
ba-har-taur mujh ko manati hain ammi
magar abbu jab lauT aate hain ghar ko
to hum kaun hain bhul jati hain ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.