ret par safar ka lamha
Interesting Fact
Ahmed Shamim was never able to visit his mother in Indian Kashmir. Ahmed Shamim is said to have composed the poem "Rait per safar kaa lamhaa" (A moment of journeying through sand) whose opening line is "Kabhi Hum Khoobsoorat thay" ("We were adored once") in memory of his mother. This free verse poem became his crowning achievement and a symbol of his poetic identity.
kabhī ham ḳhūb-sūrat the
kitāboñ meñ basī
ḳhushbū kī sūrat
saañs sākin thī
bahut se an-kahe lafzoñ se
tasvīreñ banāte the
parindoñ ke paroñ par nazm likh kar
duur kī jhīloñ meñ basne vaale
logoñ ko sunāte the
jo ham se duur the
lekin hamāre paas rahte the
na.e din kī masāfat
jab kiran ke saath
āñgan meñ utartī thī
to ham kahte the
ammī titliyoñ ke par
bahut hī ḳhūb-sūrat haiñ
hameñ māthe pe bosā do
ki ham ko titliyoñ ke
jugnuoñ ke des jaanā hai
hameñ rañgoñ ke jugnū
raushnī kī titliyāñ āvāz detī haiñ
na.e din kī masāfat
rañg meñ Duubī havā ke saath
khiḌkī se bulātī hai
hameñ māthe pe bosā do
hameñ māthe pe bosā do
kabhi hum KHub-surat the
kitabon mein basi
KHushbu ki surat
sans sakin thi
bahut se an-kahe lafzon se
taswiren banate the
parindon ke paron par nazm likh kar
dur ki jhilon mein basne wale
logon ko sunate the
jo hum se dur the
lekin hamare pas rahte the
nae din ki masafat
jab kiran ke sath
aangan mein utarti thi
to hum kahte the
ammi titliyon ke par
bahut hi KHub-surat hain
hamein mathe pe bosa do
ki hum ko titliyon ke
jugnuon ke des jaana hai
hamein rangon ke jugnu
raushni ki titliyan aawaz deti hain
nae din ki masafat
rang mein Dubi hawa ke sath
khiDki se bulati hai
hamein mathe pe bosa do
hamein mathe pe bosa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.