ise kahna
use kahnā december aa gayā hai
december ke guzarte hī baras ik aur maazī kī guphā meñ Duub jā.egā
use kahnā december lauT aa.egā
magar jo ḳhuun so jā.egā jismoñ meñ na jā.egā
use kahnā havā.eñ sard haiñ aur zindagī ke kohre dīvāroñ meñ larzāñ haiñ
use kahnā shagūfe Tahniyoñ meñ so rahe haiñ
aur un par barf kī chādar bichhī hai
use kahnā agar sūraj na niklegā
to kaise barf pighlegī
use kahnā ki lauT aa.e
use kahna december aa gaya hai
december ke guzarte hi baras ek aur mazi ki gupha mein Dub jaega
use kahna december lauT aaega
magar jo KHun so jaega jismon mein na jaega
use kahna hawaen sard hain aur zindagi ke kohre diwaron mein larzan hain
use kahna shagufe Tahniyon mein so rahe hain
aur un par barf ki chadar bichhi hai
use kahna agar suraj na niklega
to kaise barf pighlegi
use kahna ki lauT aae
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 369)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.