guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki
guftugū jo hotī hai sāl-e-nau se ambar kī
garm hone lagtī haiñ sardiyāñ december kī
jaane vaale lamhe to lauT kar nahīñ aate
kārobār-e-duniyā ke par ye ruk nahīñ paate
kyoñ na mas.ale saare is tarah se hal kar leñ
sāl-e-nau ke har pal ko pyaar kī ġhazal kar leñ
sajda-e-mohabbat se aao mo'atabar kar deñ
sāl-e-nau ke āñgan ko ḳhushbuoñ kā ghar kar deñ
tan-badan ummīdoñ ke phir se mahke mahke haiñ
ruḳh na.ī tamāzat se ḳhvāhishoñ ke dahke haiñ
ik nayā varaq kholeñ ham kitāb-e-hastī kā
dil sabaq paḌheñ phir se zindagī kī mastī kā
dil se dil ke milne kī nuqra.ī sadā.eñ hoñ
rañg-e-ishq-o-ulfat kī reshmī havā.eñ hoñ
dil ke saaz se phūTeñ yuuñ mohabbatoñ ke sur
hoñ ḳhushī ke ḳhvāboñ ke sur haqīqatoñ ke sur
amn aur tahaffuz se shaad phir raheñ ham sab
nafrateñ na bāñTeñ ab mulk qaum aur maz.hab
dahshatoñ kī lāshoñ par amn kī ridā Dāleñ
aur ḳhizāñ ke mausam ko fasl-e-gul banā Dāleñ
sāl-e-nau kī aamad par mushkileñ sabhī hāreñ
itnī hoñ añdheroñ par raushnī kī yalġhāreñ
mandir-o-masājid sab amn ke hoñ gahvāre
ḳhvāb 'alīnā' insāñ ke hoñ kabhī na banjāre
guftugu jo hoti hai sal-e-nau se ambar ki
garm hone lagti hain sardiyan december ki
jaane wale lamhe to lauT kar nahin aate
karobar-e-duniya ke par ye ruk nahin pate
kyon na masale sare is tarah se hal kar len
sal-e-nau ke har pal ko pyar ki ghazal kar len
sajda-e-mohabbat se aao mo'atabar kar den
sal-e-nau ke aangan ko KHushbuon ka ghar kar den
tan-badan ummidon ke phir se mahke mahke hain
ruKH nai tamazat se KHwahishon ke dahke hain
ek naya waraq kholen hum kitab-e-hasti ka
dil sabaq paDhen phir se zindagi ki masti ka
dil se dil ke milne ki nuqrai sadaen hon
rang-e-ishq-o-ulfat ki reshmi hawaen hon
dil ke saz se phuTen yun mohabbaton ke sur
hon KHushi ke KHwabon ke sur haqiqaton ke sur
amn aur tahaffuz se shad phir rahen hum sab
nafraten na banTen ab mulk qaum aur mazhab
dahshaton ki lashon par amn ki rida Dalen
aur KHizan ke mausam ko fasl-e-gul bana Dalen
sal-e-nau ki aamad par mushkilen sabhi haaren
itni hon andheron par raushni ki yalghaaren
mandir-o-masajid sab amn ke hon gahware
KHwab 'alina' insan ke hon kabhi na banjare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.