yaad-e-aligarh
vo chaa.e kī pyālī pe yāroñ ke jalse
vo sardī kī rāteñ vo zulfoñ ke qisse
kabhī tazkire husn-e-sho.ala-ruḳhāñ ke
mohabbat huī thī kisī ko kisī se
har ik dil vahāñ thā nazar kā nishāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
bahut apnā andāz thā lā-ubālī
kabhī the jalālī kabhī the jamālī
kabhī baat meñ baat yūñhī nikālī
sar-e-rāh koī qayāmat uThā lī
kisī ko laḌānā kisī ko bachānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
kabhī sachchī bātoñ ko jhūTā batāyā
kabhī jhūTī bātoñ ko sach kar dikhāyā
kabhī rāz-e-dil kah ke us ko chhupāyā
kabhī dostoñ meñ yūñhī kuchh uḌāyā
batā kar chhupānā chhupā kar batānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
kabhī bazm-e-ahbāb meñ sho.ala-afshāñ
kabhī union meñ the shamshīr-e-burrāñ
kabhī bazm-e-vā.iz meñ the pā-ba-jaulāñ
badalte the har roz taqdīr-e-daurāñ
jahāñ jaisī Daflī vahāñ vaisā gaanā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
zamāna thā vo ek haivāniyat kā
vo daur-e-malāmat thā shaitāniyat kā
hameñ dard thā ek insāniyat kā
uThā.e alam ham the haqqāniyat kā
baḌhe jā rahe the magar bāġhiyāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
muqābil meñ aa.e jasārat thī kis ko
koī rok de baḌh ke himmat thī kis ko
pukāre koī ham ko tāqat thī kis ko
ki har bul-havas ko the ham tāziyāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
ḳhayālāt-e-pur-shauq kā silsila thā
badal deñ zamāne ko vo hausla thā
har ik dil meñ paidā nayā valvala thā
har ik gaam ahbāb kā qāfila thā
idhar da.avā karnā udhar kar dikhānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
vo shah-rāh-e-marrice ke pur-pech chakkar
vo shamshād building pe ik shor-e-mahshar
vo mub.ham sī bāteñ vo poshīda nashtar
vo be-fikr duniyā vo lafzoñ ke daftar
ki jin kā sirā thā na koī Thikāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
kisī ko huī thī kisī se mohabbat
koī kar rahā thā kisī kī shikāyat
ġharaz roz Dhātī thī taaza qayāmat
kisī kī shabāhat kisī kī malāmat
kisī kī tasallī kisī kā satānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
koī ġham-zada thā koī hañs rahā thā
koī husn-e-nāhīd par mar miTā thā
koī chashm-e-nargis kā bīmār sā thā
koī bas yūñhī tāktā jhāñktā thā
kabhī choT khānā kabhī muskurānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
vo har january meñ numā.ish ke charche
vo pur-shauq āñkheñ vo hairān jalve
vo chakkar pe chakkar the bāra-darī ke
vo hasrat ki sau baar mil kar bhī milte
hazāroñ bahānoñ kā vo ik bahānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
vo ruḳh āftābī pe abrū hilālī
vo timsāl-e-sīmīñ vo husn-misālī
shagūfoñ meñ khelī gulāboñ meñ paalī
vo ḳhud ik adā thī adā bhī nirālī
nigāheñ bachā kar nigāheñ milā kar
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
vo har-chand mujh ko nahīñ jāntī thī
magar merī nazroñ ko pahchāntī thī
agarche mire dil meñ vo bas ga.ī thī
magar baat bas dil kī dil meñ rahī thī
magar aaj ahbāb se kyā chhupānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
vo ik shaam barsāt kī din Dhalā thā
abhī raat aa.ī na thī jhuTpuTā thā
vo bād-e-bahārī se ik gul khilā thā
dhaḌakte hue dil se ik dil milā thā
nazar sun rahī thī nazar kā fasāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
javānī adāoñ meñ bal khā rahī thī
kahānī nigāhoñ meñ lahrā rahī thī
mohabbat mohabbat ko samjhā rahī thī
vo chashm-e-tamannā jhukī jā rahī thī
qayāmat se pahle qayāmat vo Dhānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
hameñ biitī bāteñ jo yaad aa rahī thiiñ
vo maḳhmūr nazreñ jo sharmā rahī thiiñ
bahut aql-e-sāda ko bahkā rahī thiiñ
baḌī be-niyāzī se farmā rahī thiiñ
unheñ yaad rakhnā hameñ bhuul jaanā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
ab vo umañgeñ na dil meñ murādeñ
ab rah ga.iiñ chand maazī kī yādeñ
ye jī chāhtā hai unheñ bhī bhalā deñ
ġham-e-zindagī ko kahāñ tak duā deñ
haqīqat bhī ab ban ga.ī hai fasāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
aligarh hai baḌh kar hameñ kul jahāñ se
hameñ ishq hai apnī urdu zabāñ se
hameñ pyaar hai apne nām-o-nishāñ se
yahāñ aa ga.e ham na jaane kahāñ se
qasam de ke ham ko kasī kā bulānā
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
mohabbat se yaksar hai anjān duniyā
ye vīrān bastī pareshān duniyā
kamāl-e-ḳhirad se ye hairān duniyā
ḳhud apne kiye par pashemān duniyā
kahāñ le ke aayā hameñ āb-o-dāna
bahut yaad aatā hai guzrā zamāna
wo chae ki pyali pe yaron ke jalse
wo sardi ki raaten wo zulfon ke qisse
kabhi tazkire husn-e-shoala-ruKHan ke
mohabbat hui thi kisi ko kisi se
har ek dil wahan tha nazar ka nishana
bahut yaad aata hai guzra zamana
bahut apna andaz tha la-ubaali
kabhi the jalali kabhi the jamali
kabhi baat mein baat yunhi nikali
sar-e-rah koi qayamat uTha li
kisi ko laDana kisi ko bachana
bahut yaad aata hai guzra zamana
kabhi sachchi baaton ko jhuTa bataya
kabhi jhuTi baaton ko sach kar dikhaya
kabhi raaz-e-dil kah ke us ko chhupaya
kabhi doston mein yunhi kuchh uDaya
bata kar chhupana chhupa kar batana
bahut yaad aata hai guzra zamana
kabhi bazm-e-ahbab mein shoala-afshan
kabhi union mein the shamshir-e-burran
kabhi bazm-e-waiz mein the pa-ba-jaulan
badalte the har roz taqdir-e-dauran
jahan jaisi Dafli wahan waisa gana
bahut yaad aata hai guzra zamana
zamana tha wo ek haiwaniyat ka
wo daur-e-malamat tha shaitaniyat ka
hamein dard tha ek insaniyat ka
uThae alam hum the haqqaniyat ka
baDhe ja rahe the magar baghiyana
bahut yaad aata hai guzra zamana
muqabil mein aae jasarat thi kis ko
koi rok de baDh ke himmat thi kis ko
pukare koi hum ko taqat thi kis ko
ki har bul-hawas ko the hum taziyana
bahut yaad aata hai guzra zamana
KHayalat-e-pur-shauq ka silsila tha
badal den zamane ko wo hausla tha
har ek dil mein paida naya walwala tha
har ek gam ahbab ka qafila tha
idhar dawa karna udhar kar dikhana
bahut yaad aata hai guzra zamana
wo shah-rah-e-marrice ke pur-pech chakkar
wo shamshad building pe ek shor-e-mahshar
wo mubham si baaten wo poshida nashtar
wo be-fikr duniya wo lafzon ke daftar
ki jin ka sira tha na koi Thikana
bahut yaad aata hai guzra zamana
kisi ko hui thi kisi se mohabbat
koi kar raha tha kisi ki shikayat
gharaz roz Dhati thi taza qayamat
kisi ki shabahat kisi ki malamat
kisi ki tasalli kisi ka satana
bahut yaad aata hai guzra zamana
koi gham-zada tha koi hans raha tha
koi husn-e-nahid par mar miTa tha
koi chashm-e-nargis ka bimar sa tha
koi bas yunhi takta jhankta tha
kabhi choT khana kabhi muskurana
bahut yaad aata hai guzra zamana
wo har january mein numaish ke charche
wo pur-shauq aankhen wo hairan jalwe
wo chakkar pe chakkar the bara-dari ke
wo hasrat ki sau bar mil kar bhi milte
hazaron bahanon ka wo ek bahana
bahut yaad aata hai guzra zamana
wo ruKH aaftabi pe abru hilali
wo timsal-e-simin wo husn-misali
shagufon mein kheli gulabon mein pali
wo KHud ek ada thi ada bhi nirali
nigahen bacha kar nigahen mila kar
bahut yaad aata hai guzra zamana
wo har-chand mujh ko nahin jaanti thi
magar meri nazron ko pahchanti thi
agarche mere dil mein wo bas gai thi
magar baat bas dil ki dil mein rahi thi
magar aaj ahbab se kya chhupana
bahut yaad aata hai guzra zamana
wo ek sham barsat ki din Dhala tha
abhi raat aai na thi jhuTpuTa tha
wo baad-e-bahaari se ek gul khila tha
dhaDakte hue dil se ek dil mila tha
nazar sun rahi thi nazar ka fasana
bahut yaad aata hai guzra zamana
jawani adaon mein bal kha rahi thi
kahani nigahon mein lahra rahi thi
mohabbat mohabbat ko samjha rahi thi
wo chashm-e-tamanna jhuki ja rahi thi
qayamat se pahle qayamat wo Dhana
bahut yaad aata hai guzra zamana
hamein biti baaten jo yaad aa rahi thin
wo maKHmur nazren jo sharma rahi thin
bahut aql-e-sada ko bahka rahi thin
baDi be-niyazi se farma rahi thin
unhen yaad rakhna hamein bhul jaana
bahut yaad aata hai guzra zamana
ab wo umangen na dil mein muraden
ab rah gain chand mazi ki yaaden
ye ji chahta hai unhen bhi bhala den
gham-e-zindagi ko kahan tak dua den
haqiqat bhi ab ban gai hai fasana
bahut yaad aata hai guzra zamana
aligarh hai baDh kar hamein kul jahan se
hamein ishq hai apni urdu zaban se
hamein pyar hai apne nam-o-nishan se
yahan aa gae hum na jaane kahan se
qasam de ke hum ko kasi ka bulana
bahut yaad aata hai guzra zamana
mohabbat se yaksar hai anjaan duniya
ye viran basti pareshan duniya
kamal-e-KHirad se ye hairan duniya
KHud apne kiye par pasheman duniya
kahan le ke aaya hamein aab-o-dana
bahut yaad aata hai guzra zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.