ummid
jab terī zulfoñ sī chanchal raat na maanī
jab tere gulnār laboñ sī baat na maanī
terī qurbat kī ḳhush-bū sā vaqt na Thahrā
tanhā.ī ke is sahrā meñ kyā rakkhā hai
ye bhī ik din kaT jā.egā
terī qurbat ke mausam meñ
kāñToñ kī mānind kabhī
ye mere hoñToñ yā siine meñ chubh jā.egā
jab teri zulfon si chanchal raat na mani
jab tere gulnar labon si baat na mani
teri qurbat ki KHush-bu sa waqt na Thahra
tanhai ke is sahra mein kya rakkha hai
ye bhi ek din kaT jaega
teri qurbat ke mausam mein
kanTon ki manind kabhi
ye mere honTon ya sine mein chubh jaega
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.