ummid
ai umiid aa mire gale lag jā
kaun merā hai jag meñ tere sivā
dost mumkin nahīñ koī tujh sā
tū agar hai to zindagī merī tere dam se hai
har ḳhushī merī tere dam se hai
detī hai tū tasalliyāñ
tere hone se kāmrāniyāñ
gul aarzū ke khilātī hai tū
ummīdoñ ke gulāb mahkātī hai tū
har ek moḌ par khaḌī hai tū
phailā detī hai bāñheñ
tū hī hai duniyā meñ ik bā-vafā
tere hone se milā har ek ko hausla
dost mumkin nahīñ koī tujh sā
tū agar hai to zindagī merī tere dam se hai
har ḳhushī merī tere dam se hai
ai umid aa mere gale lag ja
kaun mera hai jag mein tere siwa
dost mumkin nahin koi tujh sa
tu agar hai to zindagi meri tere dam se hai
har KHushi meri tere dam se hai
deti hai tu tasalliyan
tere hone se kaamraniyan
gul aarzu ke khilati hai tu
ummidon ke gulab mahkati hai tu
har ek moD par khaDi hai tu
phaila deti hai banhen
tu hi hai duniya mein ek ba-wafa
tere hone se mila har ek ko hausla
dost mumkin nahin koi tujh sa
tu agar hai to zindagi meri tere dam se hai
har KHushi meri tere dam se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.