umid
vo sub.h kabhī to aa.egī
un kaalī sadiyoñ ke sar se jab raat kā āñchal Dhalkegā
jab dukh ke bādal pighleñge jab sukh sāgar chhalkegā
jab ambar jhuum ke nāchegā jab dhartī naġhme gā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
jis sub.h kī ḳhātir jug jug se ham sab marmar ke jiite haiñ
jis sub.h ke amrit kī dhun meñ ham zahr ke pyāle piite haiñ
in bhūkī pyāsī rūhoñ par ik din to karam farmā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
maanā ki abhī tere mere armānoñ kī qīmat kuchh bhī nahīñ
miTTī kā bhī hai kuchh mol magar insānoñ kī qīmat kuchh bhī nahīñ
insānoñ kī izzat jab jhūTe sikkoñ meñ na tolī jā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
daulat ke liye jab aurat kī ismat ko na bechā jā.egā
chāhat ko na kuchlā jā.egā ġhairat ko na bechā jā.egā
apne kaale kartūtoñ par jab ye duniyā sharmā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
bīteñge kabhī to din āḳhir ye bhuuk ke aur bekārī ke
TūTeñge kabhī to but āḳhir daulat kī ijāra-dārī ke
jab ek anokhī duniyā kī buniyād uThā.e jā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
majbūr buḌhāpā jab suunī rāhoñ kī dhuul na phāñkegā
ma.asūm laḌakpan jab gandī galiyoñ meñ bhiik na māñgegā
haq māñgne vāloñ ko jis din suulī na dikhā.ī jā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
fāqoñ kī chitāoñ par jis din insāñ na jalā.e jā.eñge
siine ke dahakte dozaḳh meñ armāñ na jalā.e jā.eñge
ye narak se bhī gandī duniyā jab sovarg batā.ī jā.egī
vo sub.h kabhī to aa.egī
wo subh kabhi to aaegi
un kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal Dhalkega
jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh sagar chhalkega
jab ambar jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi
wo subh kabhi to aaegi
jis subh ki KHatir jug jug se hum sab marmar ke jite hain
jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain
in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi
wo subh kabhi to aaegi
mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin
miTTi ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin
insanon ki izzat jab jhuTe sikkon mein na toli jaegi
wo subh kabhi to aaegi
daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega
chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega
apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi
wo subh kabhi to aaegi
bitenge kabhi to din aaKHir ye bhuk ke aur bekari ke
TuTenge kabhi to but aaKHir daulat ki ijara-dari ke
jab ek anokhi duniya ki buniyaad uThae jaegi
wo subh kabhi to aaegi
majbur buDhapa jab suni rahon ki dhul na phankega
masum laDakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega
haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi
wo subh kabhi to aaegi
faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge
sine ke dahakte dozaKH mein arman na jalae jaenge
ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg batai jaegi
wo subh kabhi to aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.