Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-wadi-e-sina

Faiz Ahmad Faiz

sar-e-wadi-e-sina

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    On Arab-Israeli war of 1967

    phir barq farozāñ hai sar-e-vādī-e-sīnā

    phir rañg pe hai sho.ala-e-ruḳhsār-e-haqīqat

    paiġhām-e-ajal dāvat-e-dīdār-e-haqīqat

    ai dīda-e-bīnā

    ab vaqt hai dīdār dam hai ki nahīñ hai

    ab qāti-e-jāñ chāra-gar-e-kulfat-e-ġham hai

    gulzār-e-iram partav-e-sahrā-e-adam hai

    pindār-e-junūñ

    hausla-e-rāh-e-adam hai ki nahīñ hai

    phir barq farozāñ hai sar-e-vādī-e-sīnā, ai dīda-e-bīnā

    phir dil ko musaffā karo, is lauh pe shāyad

    mābain-e-man-o-tū nayā paimāñ koī utre

    ab rasm-e-sitam hikmat-e-ḳhāsān-e-zamīñ hai

    tā.īd-e-sitam maslahat-e-muftī-e-dīñ hai

    ab sadiyoñ ke iqrār-e-itā.at ko badalne

    lāzim hai ki inkār farmāñ koī utre

    phir barq farozan hai sar-e-wadi-e-sina

    phir rang pe hai shoala-e-ruKHsar-e-haqiqat

    paigham-e-ajal dawat-e-didar-e-haqiqat

    ai dida-e-bina

    ab waqt hai didar ka dam hai ki nahin hai

    ab qati-e-jaan chaara-gar-e-kulfat-e-gham hai

    gulzar-e-iram partaw-e-sahra-e-adam hai

    pindar-e-junun

    hausla-e-rah-e-adam hai ki nahin hai

    phir barq farozan hai sar-e-wadi-e-sina, ai dida-e-bina

    phir dil ko musaffa karo, is lauh pe shayad

    mabain-e-man-o-tu naya paiman koi utre

    ab rasm-e-sitam hikmat-e-KHasan-e-zamin hai

    taid-e-sitam maslahat-e-mufti-e-din hai

    ab sadiyon ke iqrar-e-itaat ko badalne

    lazim hai ki inkar ka farman koi utre

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 427)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now