meri beTi chalna sikh gai
merī beTī uñglī chhoḌ ke
chalnā siikh ga.ī
sañg-e-mīl pe hindisoñ kī pahchān se aage
aate jaate rastoñ ke har naam se aage
paḌhnā siikh ga.ī
jaltī bujhtī raushniyoñ aur rañgoñ kī tartīb
safar kī samtoñ aur gaaḌī ke pahiyoñ meñ
uljhī rāhoñ par
aage baḌhnā siikh ga.ī
merī beTī duniyā ke naqshe meñ
apnī marzī ke
rañgoñ ko bharnā siikh ga.ī
meri beTi ungli chhoD ke
chalna sikh gai
sang-e-mil pe hindison ki pahchan se aage
aate jate raston ke har nam se aage
paDhna sikh gai
jalti bujhti raushniyon aur rangon ki tartib
safar ki samton aur gaDi ke pahiyon mein
uljhi rahon par
aage baDhna sikh gai
meri beTi duniya ke naqshe mein
apni marzi ke
rangon ko bharna sikh gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.