hausla
nikal ga.ī huuñ zamīñ kī had se
falak kī jānib ravāñ huī huuñ
maiñ misl-e-shola huī huuñ phir bhī
zamāna samjhā dhuāñ huī huuñ
charāġh-e-ḳhāna charāġh-e-mahfil
har ik jagah maiñ ayaañ huī huuñ
fanā ke katbe bahut haiñ lekin
tirī baqā kā nishāñ huī huuñ
nikal gai hun zamin ki had se
falak ki jaanib rawan hui hun
main misl-e-shola hui hun phir bhi
zamana samjha dhuan hui hun
charagh-e-KHana charagh-e-mahfil
har ek jagah main ayan hui hun
fana ke katbe bahut hain lekin
teri baqa ka nishan hui hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.