tumhaare baad
ammī tumhāre baa'd
har baar ham
ek dūsre se
āḳhirī baar milte haiñ
zindagī be-yaqīnī kā
saaya ban kar rah ga.ī hai
maut hamāre number
lagā chukī hai
ham tum se
milne kī ḳhātir
apnī apnī baarī kā
intizār karte haiñ
zamīn par
apne din shumār karte haiñ
hameñ tum se
kashīd kiyā gayā
hamāre ḳhuun ke group
aur dimāġh kī banāvaT meñ
tumheñ bhar diyā gayā
aur dil kī jagah
tumheñ rakh diyā gayā
phir achānak tum ham se judā ho ga.iiñ
aur hameñ mubtalā kar diyā gayā
āñsuoñ ke karb-o-balā meñ
aur ham tum se milne ke liye
maut se pyaar karne lage
aur intizār karne lage
ki jab ham jism se āzād hoñge
to tumhārī narm aur dil-gīr mohabbat kī
bāñhoñ meñ tumheñ
bosa de sakeñge
tumhāre siine se lag kar
hañs aur ro sakeñge
tumhārī ḳhūbsūrat āñkhoñ se
ḳhud ko dekh sakeñge
tumhāre saath hamesha ke liye
jī sakeñge
ammi tumhaare ba'd
har bar hum
ek dusre se
aaKHiri bar milte hain
zindagi be-yaqini ka
saya ban kar rah gai hai
maut hamare number
laga chuki hai
hum tum se
milne ki KHatir
apni apni bari ka
intizar karte hain
zamin par
apne din shumar karte hain
hamein tum se
kashid kiya gaya
hamare KHun ke group
aur dimagh ki banawaT mein
tumhein bhar diya gaya
aur dil ki jagah
tumhein rakh diya gaya
phir achanak tum hum se juda ho gain
aur hamein mubtala kar diya gaya
aansuon ke karb-o-bala mein
aur hum tum se milne ke liye
maut se pyar karne lage
aur intizar karne lage
ki jab hum jism se aazad honge
to tumhaari narm aur dil-gir mohabbat ki
banhon mein tumhein
bosa de sakenge
tumhaare sine se lag kar
hans aur ro sakenge
tumhaari KHubsurat aankhon se
KHud ko dekh sakenge
tumhaare sath hamesha ke liye
ji sakenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.