mothers day par
ism-e-āzam
bahut achchhā huā thā maañ ne mirī
sikhlā diye the ism saare
mujh ko bachpan meñ
tamām āyāt-e-qur.ānī vazīfe aur munājāteñ
ki jin ke vird se saarī balā.eñ duur rahtī haiñ
hisār un kā har aafat aur musībat se bachātā hai
unhī ke hifz se hotī rahī mushkil-kushā.ī aur masīhā.ī
magar jab vajūd us kā
mujassam ajnabī ban kar
gurezāñ ho gayā mujh se
azaab jāñkanī ban kar
ḳhayāl aayā ki shāyad bas
vahī ik ism-e-āzam maañ mujhe sikhlā nahīñ paa.ī
jise paḌhne se us kī sard-mehrī sard paḌ jaa.e
jo us ke dil kā zañgī qufl khole aur vo mujh ko
faqat ik baar izn-e-bāryābī de
āzāb-e-nārasā.ī ḳhatm kar de aur
naved-e-shādmānī de
ism-e-azam
bahut achchha hua tha man ne meri
sikhla diye the ism sare
mujh ko bachpan mein
tamam aayat-e-qurani wazife aur munajaten
ki jin ke wird se sari balaen dur rahti hain
hisar un ka har aafat aur musibat se bachata hai
unhi ke hifz se hoti rahi mushkil-kushai aur masihai
magar jab wajud us ka
mujassam ajnabi ban kar
gurezan ho gaya mujh se
azab jaankani ban kar
KHayal aaya ki shayad bas
wahi ek ism-e-azam man mujhe sikhla nahin pai
jise paDhne se us ki sard-mehri sard paD jae
jo us ke dil ka zangi qufl khole aur wo mujh ko
faqat ek bar izn-e-baryabi de
aazab-e-narasai KHatm kar de aur
nawed-e-shadmani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.