man
Interesting Fact
(12th April, 2004, On the death of a body whose soul was killed a long time ago)
tamām lafzoñ meñ raushan har ik baab meñ maañ
junūñ ke shelf meñ hai ishq kī kitāb meñ maañ
ai maañ to ḳhushbū kā nāyāb isti.āra hai
ai maañ tū uud meñ ambar meñ tū gulāb meñ maañ
ḳhud apnī mamtā meñ hī nuur kā samundar hai
nahīñ hai aur kisī raushnī kī taab meñ maañ
vo jism kho ke badal sī ga.ī hai kuchh mujh meñ
thī pahle sirf savāl ab hai har javāb meñ maañ
mire savāloñ ke saare javāb le aa.ī
chalī ga.ī thī magar lauTī phir se ḳhvāb meñ maañ
maiñ jab bhī zab.h huī zindagī ke ḳhanjar se
dukhī hai ḳhvāboñ meñ ik dasht-e-iztirāb meñ maañ
gañvā ke jism vo fursat se i mere paas
sisak sisak ke sunāyā thī kis azaab meñ maañ
maiñ maañ kī zinda nigāhoñ ko ḳhud meñ jiitī huuñ
har inqalāb meñ har dam har āb-o-tāb meñ maañ
mire uruuj kā vo silsila in.ām-o-sazā
mire zavāl meñ har zinda inqalāb meñ maañ
tujhe lubhāne ko maiñ satrañgī banī thī maañ
ye jā chhupī hai tū kis parda-e-ġhayāb meñ maañ
bañdhī haiñ āñkheñ mirī ab bhī maut ke pul se
hai har sukūt meñ ḳhāmosh iztirāb meñ maañ
umaD rahe haiñ har ik pal se maut ke ThaTThe
vo jā rahī hai mirī panja-e-uqāb meñ maañ
vo jism haar ga.ī maut se magar mujh meñ
vo jī ke goyā hai phir maut se javāb meñ maañ
tamam lafzon mein raushan har ek bab mein man
junun ke shelf mein hai ishq ki kitab mein man
ai man to KHushbu ka nayab istiara hai
ai man tu ud mein ambar mein tu gulab mein man
KHud apni mamta mein hi nur ka samundar hai
nahin hai aur kisi raushni ki tab mein man
wo jism kho ke badal si gai hai kuchh mujh mein
thi pahle sirf sawal ab hai har jawab mein man
mere sawalon ke sare jawab le aai
chali gai thi magar lauTi phir se KHwab mein man
main jab bhi zabh hui zindagi ke KHanjar se
dukhi hai KHwabon mein ek dasht-e-iztirab mein man
ganwa ke jism wo fursat se i mere pas
sisak sisak ke sunaya thi kis azab mein man
main man ki zinda nigahon ko KHud mein jiti hun
har inqalab mein har dam har aab-o-tab mein man
mere uruj ka wo silsila inam-o-saza
mere zawal mein har zinda inqalab mein man
tujhe lubhane ko main satrangi bani thi man
ye ja chhupi hai tu kis parda-e-ghayab mein man
bandhi hain aankhen meri ab bhi maut ke pul se
hai har sukut mein KHamosh iztirab mein man
umaD rahe hain har ek pal se maut ke ThaTThe
wo ja rahi hai meri panja-e-uqab mein man
wo jism haar gai maut se magar mujh mein
wo ji ke goya hai phir maut se jawab mein man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.