man ke intiqal par
allāh-jī
ham so nahīñ paate
ammī ko kab bhejoge
naanī kahtī haiñ
tum ham se rūThe ho
lekin ab ham
rozāna maktab jā.eñge
tum ko taḳhtī par likkheñge
aslam mister gande haiñ
un ke saath nahīñ kheleñge
allāh-jī
ab maan bhī jaao
chāho to
ammī ke badle
ham se saarī chīzeñ le lo
geñd bhī le lo
aur golī bhī
laTTū or ġhulail bhī le lo
lekin ham ko ammī de do
ham ko hamārī ammī de do
allah-ji
hum so nahin pate
ammi ko kab bhejoge
nani kahti hain
tum hum se ruThe ho
lekin ab hum
rozana maktab jaenge
tum ko taKHti par likkhenge
aslam mister gande hain
un ke sath nahin khelenge
allah-ji
ab man bhi jao
chaho to
ammi ke badle
hum se sari chizen le lo
gend bhi le lo
aur goli bhi
laTTu or ghulail bhi le lo
lekin hum ko ammi de do
hum ko hamari ammi de do
- Book : esbaat-shumara(shumara-number-01) (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.