Daku
kal raat mirā beTā mire ghar
chehre pe munḌhe ḳhākī kapḌā
bandūq uThā.e aa pahuñchā
nau-umrī kī surḳhī se rachī us kī āñkheñ
maiñ jaan ga.ī
aur bachpan ke sandal se mañDhā us kā chehra
pahchān ga.ī
vo aayā thā ḳhud apne ghar
ghar kī chīzeñ le jaane ko
an-kahī kahī manvāne ko
bātoñ meñ duudh kī ḳhushbū thī
jo kuchh bhī saiñt ke rakkhā thā
maiñ saarī chīzeñ le aa.ī
ik la.al-e-badaḳhshāñ kī chiḌiyā
sone kā haath chhoTā sā
chāñdī kī ik nannhī taḳhtī
resham kī phuul bharī Topī
atlas kā naam likhā juzdān
juzdān meñ lipTā ik qur.āñ
par vo kaisā dīvāna thā
kuchh chhoḌ gayā kuchh toḌ gayā
aur le bhī gayā hai vo to kyā
lohe kī bad-sūrat gaaḌī
petrol kī bū bhī aa.egī
jis ke pahiye bhī rabar ke haiñ
jo baat nahīñ kar pā.egī
bachcha phir āḳhir bachcha hai
kal raat mera beTa mere ghar
chehre pe munDhe KHaki kapDa
banduq uThae aa pahuncha
nau-umri ki surKHi se rachi us ki aankhen
main jaan gai
aur bachpan ke sandal se manDha us ka chehra
pahchan gai
wo aaya tha KHud apne ghar
ghar ki chizen le jaane ko
an-kahi kahi manwane ko
baaton mein dudh ki KHushbu thi
jo kuchh bhi saint ke rakkha tha
main sari chizen le aai
ek lal-e-badaKHshan ki chiDiya
sone ka hath chhoTa sa
chandi ki ek nannhi taKHti
resham ki phul bhari Topi
atlas ka nam likha juzdan
juzdan mein lipTa ek quran
par wo kaisa diwana tha
kuchh chhoD gaya kuchh toD gaya
aur le bhi gaya hai wo to kya
lohe ki bad-surat gaDi
petrol ki bu bhi aaegi
jis ke pahiye bhi rabar ke hain
jo baat nahin kar paegi
bachcha phir aaKHir bachcha hai
- Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 101)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.