chup-chap guzar jao
yahāñ horn bajāne kī ijāzat nahīñ
aur maiñ ne tamannā kā bharam khol diyā hai ki samundar kī havā
siine se Takrā.e to parda na rahe
us kī mahak sar pe kafan bāñdh ke niklī hai
har ik rāste har moḌ pe āvāz lagātī hai
magar koī nahīñ ruktā basant aa.ī hai
sab bhaag rahe haiñ koī āvāz nahīñ detā
koī muḌ ke nahīñ dekhtā
petrol lahū aur havā dast-o-garebāñ haiñ
jidhar dekho patañgeñ hī patañgeñ haiñ
zamīnoñ pe utarne ke liye Doltī par taultī
bal khātī huī
subah ko kaTtī haiñ magar shaam ko saḌkoñ pe utartī haiñ
to vo kaun hai jo
āñkhoñ ke saa.e se gurezāñ haiñ
magar sub.h hī sub.h chupke se sau sīḌhiyāñ
chaḌh jaatā hai thaktā hī nahīñ
aur na.ī aag dahaktī hai
na.e rañge hue kāġhazoñ se hashr chamak uThtā hai
sab aurteñ aur mard javāñ laḌkiyāñ aur laḌke
na.ī Texiyāñ aur motareñ aur rikshe
unheñ lūTne nikle haiñ basant aa.ī hai
aa jaao yahāñ luuT machī hai aao
dar-o-dīvār ko hasrat kī nazar dekhnā mat bhūlnā
ik dūsre ko rauñdte
ik dūsre ko ḳhuun meñ bhīge hue
sar pīTte aur chīḳhte chillāte sabhī bhaag rahe haiñ
koī āvāz nahīñ detā
yahāñ maaoñ aur bahnoñ se aur bīviyoñ se
āḳhirī bosoñ kī ijāzat hai
magar horn bajāne kī ijāzat nahīñ
yahan horn bajaane ki ijazat nahin
aur main ne tamanna ka bharam khol diya hai ki samundar ki hawa
sine se Takrae to parda na rahe
us ki mahak sar pe kafan bandh ke nikli hai
har ek raste har moD pe aawaz lagati hai
magar koi nahin rukta basant aai hai
sab bhag rahe hain koi aawaz nahin deta
koi muD ke nahin dekhta
petrol lahu aur hawa dast-o-gareban hain
jidhar dekho patangen hi patangen hain
zaminon pe utarne ke liye Dolti par taulti
bal khati hui
subah ko kaTti hain magar sham ko saDkon pe utarti hain
to wo kaun hai jo
aankhon ke sae se gurezan hain
magar subh hi subh chupke se sau siDhiyan
chaDh jata hai thakta hi nahin
aur nai aag dahakti hai
nae range hue kaghazon se hashr chamak uThta hai
sab aurten aur mard jawan laDkiyan aur laDke
nai Texiyan aur motaren aur rikshe
unhen luTne nikle hain basant aai hai
aa jao yahan luT machi hai aao
dar-o-diwar ko hasrat ki nazar dekhna mat bhulna
ek dusre ko raundte
ek dusre ko KHun mein bhige hue
sar piTte aur chiKHte chillate sabhi bhag rahe hain
koi aawaz nahin deta
yahan maon aur bahnon se aur biwiyon se
aaKHiri boson ki ijazat hai
magar horn bajaane ki ijazat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.