yaum-e-mai
sadā aa rahī hai mare dil se paiham
ki hogā har ik dushman-e-jāñ kā sar ḳham
nahīñ hai nizām-e-halākat meñ kuchh dam
zarūrat hai insān kī amn-e-ālam
fazāoñ meñ lahrā.egā surḳh parcham
sadā aa rahī hai mire dil se paiham
na zillat ke saa.e meñ bachche paleñge
na haath apne qismat ke hāthoñ maleñge
musāvāt ke diip ghar ghar jaleñge
sab ahl-e-vatan sar uThā ke chaleñge
na hogī kabhī zindagī vaqf-e-mātam
fazāoñ meñ lahrā.egā surḳh parcham
sada aa rahi hai mare dil se paiham
ki hoga har ek dushman-e-jaan ka sar KHam
nahin hai nizam-e-halakat mein kuchh dam
zarurat hai insan ki amn-e-alam
fazaon mein lahraega surKH parcham
sada aa rahi hai mere dil se paiham
na zillat ke sae mein bachche palenge
na hath apne qismat ke hathon malenge
musawat ke dip ghar ghar jalenge
sab ahl-e-watan sar uTha ke chalenge
na hogi kabhi zindagi waqf-e-matam
fazaon mein lahraega surKH parcham
- Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 343)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.