Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

niwala

MORE BYAli Sardar Jafri

    maañ hai resham ke kār-ḳhāne meñ

    baap masrūf suutī mill meñ hai

    kokh se maañ jab se niklā hai

    bachcha kholī ke kaale dil meñ hai

    jab yahāñ se nikal ke jā.egā

    kār-ḳhānoñ ke kaam aa.egā

    apne majbūr peT ḳhātir

    bhuuk sarmā.e baḌhā.egā

    haath sone ke phuul ugleñge

    jism chāñdī dhan luTā.egā

    khiḌkiyāñ hoñgī bank raushan

    ḳhuun us diye jalā.egā

    ye jo nanhā hai bholā-bhālā hai

    sirf sarmā.e nivālā hai

    pūchhtī hai ye us ḳhāmoshī

    koī mujh ko bachāne vaalā hai

    man hai resham ke kar-KHane mein

    bap masruf suti mill mein hai

    kokh se man ki jab se nikla hai

    bachcha kholi ke kale dil mein hai

    jab yahan se nikal ke jaega

    kar-KHanon ke kaam aaega

    apne majbur peT ki KHatir

    bhuk sarmae ki baDhaega

    hath sone ke phul uglenge

    jism chandi ka dhan luTaega

    khiDkiyan hongi bank ki raushan

    KHun us ka diye jalaega

    ye jo nanha hai bhola-bhaala hai

    sirf sarmae ka niwala hai

    puchhti hai ye us ki KHamoshi

    koi mujh ko bachane wala hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ali Sardar Jafri

    Ali Sardar Jafri

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    niwala Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now