mazdur aurten
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
chehroñ pe ḳhaak dhuul ke poñchhe hue nishāñ
tū aur rañg-e-ġhāza-o-gulgūna-o-shahāb
sochā bhī kis ke ḳhuun kī bantī haiñ surḳhiyāñ
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
maile phaTe libās haiñ mahrūm-e-shast-o-shū
tū aur itr o ambar o mushk o abiir o uud
mazdūr ke bhī ḳhuun kī aatī hai is meñ bū
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
tan Dhāñkne ko Thiik se kapḌā nahīñ hai paas
tū aur harīr o atlas o kam-ḳhvāb o parniyāñ
chubhtā nahīñ badan pe tire reshmī libās
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
chāñdī kā koī ganjh na sone kā koī taar
tū aur haikal-e-zar o āveza-e-guhar
siine pe koī dam bhī dhaḌaktā hai terā haar
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
sadiyoñ se har nigāh hai fāqoñ kī rahguzar
tū aur ziyāfatoñ meñ ba-sad-nāz jalva-gar
kis ke lahū se garm hai ye mez kī bahār
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
tārīk maqbaroñ se makāñ in ke kam nahīñ
tū aur zeb-o-zīnat-e-alvān-e-zar-nigār
kyā tere qasr-e-nāz kī hiltī nahīñ zamīñ
gulnār dekhtī hai ye mazdūr aurteñ
mehnat hī un kā saaz hai mehnat hī un kā raag
tū aur shuġhl-e-rāmish-o-raqs-o-rabāb-o-rañg
kyā tere saaz meñ bhī dahaktī hai koī aag
gulnār dekhtī haiñ ye mazdūr aurteñ
mehnat pe apne peT se majbūr aurteñ
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chehron pe KHak dhul ke ponchhe hue nishan
tu aur rang-e-ghaza-o-gulguna-o-shahab
socha bhi kis ke KHun ki banti hain surKHiyan
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
maile phaTe libas hain mahrum-e-shast-o-shu
tu aur itr o ambar o mushk o abir o ud
mazdur ke bhi KHun ki aati hai is mein bu
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tan Dhankne ko Thik se kapDa nahin hai pas
tu aur harir o atlas o kam-KHwab o parniyan
chubhta nahin badan pe tere reshmi libas
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chandi ka koi ganjh na sone ka koi tar
tu aur haikal-e-zar o aaweza-e-guhar
sine pe koi dam bhi dhaDakta hai tera haar
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
sadiyon se har nigah hai faqon ki rahguzar
tu aur ziyafaton mein ba-sad-naz jalwa-gar
kis ke lahu se garm hai ye mez ki bahaar
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tarik maqbaron se makan in ke kam nahin
tu aur zeb-o-zinat-e-alwan-e-zar-nigar
kya tere qasr-e-naz ki hilti nahin zamin
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
mehnat hi un ka saz hai mehnat hi un ka rag
tu aur shughl-e-ramish-o-raqs-o-rabab-o-rang
kya tere saz mein bhi dahakti hai koi aag
gulnar dekhti hain ye mazdur aurten
mehnat pe apne peT se majbur aurten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.