ek sawal
ma.alūm nahīñ zehn kī parvāz kī zad meñ
sarsabz umīdoñ kā chaman hai ki nahīñ hai
lekin ye batā vaqt kā bahtā huā dhārā
tūfān-gar o koh-shikan hai ki nahīñ hai
sarmā.e ke simTe hue hoñToñ kā tabassum
mazdūr ke chehre kī thakan hai ki nahīñ
vo zer-e-ufuq sub.h kī halkī sī sapedī
Dhalte hue tāroñ kā kafan hai ki nahīñ hai
peshānī-e-aflās se jo phuuT rahī hai
uThte hue sūraj kī kiran hai ki nahīñ hai
malum nahin zehn ki parwaz ki zad mein
sarsabz umidon ka chaman hai ki nahin hai
lekin ye bata waqt ka bahta hua dhaara
tufan-gar o koh-shikan hai ki nahin hai
sarmae ke simTe hue honTon ka tabassum
mazdur ke chehre ki thakan hai ki nahin
wo zer-e-ufuq subh ki halki si sapedi
Dhalte hue taron ka kafan hai ki nahin hai
peshani-e-aflas se jo phuT rahi hai
uThte hue suraj ki kiran hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.