ek nazm
kahīñ bhī chhiḌak do ye roTī ke biij
ġhulāmoñ kī fasleñ ugāte raho
ye vo fasl hai jis ko paanī huā bhī nahīñ chāhiye
ik faqat bhuuk kī tez bārish kā chhiḌkāv darkār hai
izzat-e-nafs kī khaad ko jis qadar apne pairoñ se
masloge kuchloge
utnī hī achchhī milegī ḳhabar
aur to aur un ġhulāmoñ kī nasleñ kitāboñ ko apnī
darāñtī banā kar
vo kāteñgī jo un ke purkhoñ ne boyā nahīñ thā
munāfe.a kamāo
tijorī bharo
aur ġhulāmoñ kī fasleñ ugāte raho
kahin bhi chhiDak do ye roTi ke bij
ghulamon ki faslen ugate raho
ye wo fasl hai jis ko pani hua bhi nahin chahiye
ek faqat bhuk ki tez barish ka chhiDkaw darkar hai
izzat-e-nafs ki khad ko jis qadar apne pairon se
masloge kuchloge
utni hi achchhi milegi KHabar
aur to aur un ghulamon ki naslen kitabon ko apni
daranti bana kar
wo katengi jo un ke purkhon ne boya nahin tha
munafea kamao
tijori bharo
aur ghulamon ki faslen ugate raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.