Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaum-e-may

Suroor Barabankvi

yaum-e-may

Suroor Barabankvi

MORE BYSuroor Barabankvi

    aaj may pahlā din hai aaj din mazdūr din hai

    zulm-o-sitam ke madd-e-muqābil hausla-e-jamhūr din hai

    aaj din ye ilm-o-hunar fikr-o-amal fat.h-o-zafar

    aaj shikast-e-zulmat-e-shab hai aaj faroġh-e-nūr din hai

    sadiyoñ ke mazlūm insāñ ne aaj ke din ḳhud ko pahchānā

    aaj din hai yaum-e-anal-haq aaj din mansūr din hai

    apne lahū parcham le kar aaj ke din mazlūm uThe the

    ek na.e unvāñ rivāyat ek na.e dastūr din hai

    ab na kabhī ham zulm saheñge jabr-o-sitam pe chup na raheñge

    ek na.e elaan saa.at ek na.e manshūr din hai

    aaj may ka pahla din hai aaj ka din mazdur ka din hai

    zulm-o-sitam ke madd-e-muqabil hausla-e-jamhur ka din hai

    aaj ka din ye ilm-o-hunar ka fikr-o-amal ki fath-o-zafar ka

    aaj shikast-e-zulmat-e-shab hai aaj farogh-e-nur ka din hai

    sadiyon ke mazlum insan ne aaj ke din KHud ko pahchana

    aaj ka din hai yaum-e-anal-haq aaj ka din mansur ka din hai

    apne lahu ka parcham le kar aaj ke din mazlum uThe the

    ek nae unwan ki riwayat ek nae dastur ka din hai

    ab na kabhi hum zulm sahenge jabr-o-sitam pe chup na rahenge

    ek nae elan ki saat ek nae manshur ka din hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now