yas
barbat-e-dil ke taar TuuT ga.e
haiñ zamīñ-bos rāhatoñ ke mahal
miT ga.e qissa-hā-e-fikr-o-amal!
bazm-e-hastī ke jaam phuuT ga.e
chhin gayā kaif-e-kausar-o-tasnīm
zahmat-e-girya-o-bukā be-sūd
shikva-e-baḳht-e-nā-rasā be-sūd
ho chukā ḳhatm rahmatoñ kā nuzūl
band hai muddatoñ se bāb-e-qubūl
be-niyāz-e-duā hai rabb-e-karīm
bujh ga.ī sham-e-ārzū-e-jamīl
yaad baaqī hai be-kasī kī dalīl
intazā-e-fuzūl rahne de
rāz-e-ulfat nibāhane vaale
bār-e-ġham se karāhne vaale
kāvish-e-be-husūl rahne de
barbat-e-dil ke tar TuT gae
hain zamin-bos rahaton ke mahal
miT gae qissa-ha-e-fikr-o-amal!
bazm-e-hasti ke jam phuT gae
chhin gaya kaif-e-kausar-o-tasnim
zahmat-e-girya-o-buka be-sud
shikwa-e-baKHt-e-na-rasa be-sud
ho chuka KHatm rahmaton ka nuzul
band hai muddaton se bab-e-qubul
be-niyaz-e-dua hai rabb-e-karim
bujh gai sham-e-arzu-e-jamil
yaad baqi hai be-kasi ki dalil
intaza-e-fuzul rahne de
raaz-e-ulfat nibahane wale
bar-e-gham se karahne wale
kawish-e-be-husul rahne de
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 47)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.