tanhai
phir koī aayā dil-e-zār nahīñ koī nahīñ
rāh-rau hogā kahīñ aur chalā jā.egā
Dhal chukī raat bikharne lagā tāroñ kā ġhubār
laḌkhaḌāne lage aivānoñ meñ ḳhvābīda charāġh
so ga.ī rāsta tak tak ke har ik rāhguzār
ajnabī ḳhaak ne dhundlā diye qadmoñ ke surāġh
gul karo sham.eñ baḌhā do mai o miinā o ayāġh
apne be-ḳhvāb kivāḌoñ ko muqaffal kar lo
ab yahāñ koī nahīñ koī nahīñ aa.egā
Loneliness
Someone has come at long last—no, my poor heart, no one,
Just a passer-by, going somewhere else.
phir koi aaya dil-e-zar nahin koi nahin
rah-rau hoga kahin aur chala jaega
Dhal chuki raat bikharne laga taron ka ghubar
laDkhaDane lage aiwanon mein KHwabida charagh
so gai rasta tak tak ke har ek rahguzar
ajnabi KHak ne dhundla diye qadmon ke suragh
gul karo shamen baDha do mai o mina o ayagh
apne be-KHwab kiwaDon ko muqaffal kar lo
ab yahan koi nahin koi nahin aaega
Loneliness
Someone has come at long last—no, my poor heart, no one,
Just a passer-by, going somewhere else.
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.