banjara-nama
Interesting Fact
'Banjara-nama' is a famous Urdu poem by Nazeer Akhbarabadi, an Indian poet from the eighteenth century. It satirically conveys the message that worldly success is foolish and temporary, reminding us of the certainty of death for all. Film: Sankalp (1974)
Tuk hirs-o-havā ko chhoḌ miyāñ mat des bides phire maarā
qazzāq ajal kā luuTe hai din raat bajā kar naqqārā
kyā badhiyā bhaiñsā bail shutur kyā gauneñ pallā sar-bhārā
kyā gehūñ chāñval moTh maTar kyā aag dhuāñ aur añgārā
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
gar to hai lakkhī banjārā aur khep bhī terī bhārī hai
ai ġhāfil tujh se bhī chaḌhtā ik aur baḌā byopārī hai
kyā shakkar misrī qand garī kyā sāñbhar mīThā khārī hai
kyā daakh munaqqā soñTh mirach kyā kesar lauñg supārī hai
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
tū badhiyā laade bail bhare jo pūrab pachchham jāvegā
yā suud baḌhā kar lāvegā yā TuuTā ghāTā pāvegā
qazzāq ajal kā raste meñ jab bhālā maar girāvegā
dhan daulat naatī potā kyā ik kumba kaam na āvegā
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
har manzil meñ ab saath tire ye jitnā Derā-DāñDā hai
zar dām-diram kā bhāñDā hai bandūq sipar aur khāñDā hai
jab nāyak tan kā nikal gayā jo mulkoñ mulkoñ hāñDā hai
phir hāñDā hai na bhāñDā hai na halvā hai na māñDā hai
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
jab chalte chalte raste meñ ye gaun tirī rah jāvegī
ik badhiyā terī miTTī par phir ghaas na charne āvegī
ye khep jo tū ne laadī hai sab hissoñ meñ baT jāvegī
dhī puut jañvā.ī beTā kyā banjāran paas na āvegī
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
ye khep bhare jo jaatā hai ye khep miyāñ mat gin apnī
ab koī ghaḌī pal sā'at meñ ye khep badan kī hai kafanī
kyā thaal kaTorī chāñdī kī kyā pītal kī Dibyā-Dhaknī
kyā bartan sone chāñdī ke kyā miTTī kī hañDiyā chīnī
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chale gā banjārā
ye dhūm-dhaḌakkā saath liye kyuuñ phirtā hai jangal jangal
ik tinkā saath na jāvegā mauqūf huā jab ann aur jal
ghar-bār aTārī chaupārī kyā ḳhāsā nain-sukh aur malmal
chalvan parde farsh na.e kyā laal palañg aur rañg-mahal
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
kuchh kaam na āvegā tere ye lāl-o-zamurrad sīm-o-zar
jab pūñjī baaT meñ bikhregī har aan banegī jaan uupar
naubat naqqāre baan nishān daulat hashmat faujeñ lashkar
kyā masnad takiya mulk makāñ kyā chaukī kursī taḳht chhatar
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
kyuuñ jī par bojh uThātā hai in gaunoñ bhārī bhārī ke
jab maut kā Derā aan paḌā phir duune haiñ byopārī ke
kyā saaz jaḌāo zar-zevar kyā goTe thaan kanārī ke
kyā ghoḌe ziin sunahrī ke kyā hāthī laal amārī ke
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
mafrūr na ho talvāroñ par mat phuul bharose Dhāloñ ke
sab paTTā toḌ ke bhāgeñge muñh dekh ajal ke bhāloñ ke
kyā Dabbe motī hīroñ ke kyā Dher ḳhazāne māloñ ke
kyā buġhche taash moshajjar ke kyā taḳhte shaal doshāloñ ke
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
kyā saḳht makāñ banvātā hai ḳham tere tan kā hai polā
tū ūñche coat uThātā hai vaañ gor gaḌhe ne muñh kholā
kyā renī ḳhandaq rand baḌe kyā brij kañgūrā anmolā
gaḌ.h coat rahakla top qila kyā shīsha daarū aur golā
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
har aan naf.a aur ToTe meñ kyuuñ martā phirtā hai ban ban
Tak ġhāfil dil meñ soch zarā hai saath lagā tere dushman
kyā lauñDī bāñdī daa.ī davā kyā bandā chelā nek-chalan
kyā mandar masjid taal kuaañ kyā khetī baaḌī phuul chaman
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
jab marg phirā kar chābuk ko ye bail badan kā hāñkegā
koī naaj sameTegā terā koī gaun siye aur Tāñkegā
ho Dher akelā jangal meñ tū ḳhaak lahad kī phāñkegā
us jangal meñ phir aah 'nazīr' ik tinkā aan na jhāñkegā
sab ThāTh paḌā rah jāvegā jab laad chalegā banjārā
Tuk hirs-o-hawa ko chhoD miyan mat des bides phire mara
qazzaq ajal ka luTe hai din raat baja kar naqqara
kya badhiya bhainsa bail shutur kya gaunen palla sar-bhaara
kya gehun chanwal moTh maTar kya aag dhuan aur angara
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
gar to hai lakkhi banjara aur khep bhi teri bhaari hai
ai ghafil tujh se bhi chaDhta ek aur baDa byopari hai
kya shakkar misri qand gari kya sanbhar miTha khaari hai
kya dakh munaqqa sonTh mirach kya kesar laung supari hai
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
tu badhiya lade bail bhare jo purab pachchham jawega
ya sud baDha kar lawega ya TuTa ghaTa pawega
qazzaq ajal ka raste mein jab bhaala mar girawega
dhan daulat nati pota kya ek kumba kaam na aawega
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
har manzil mein ab sath tere ye jitna Dera-DanDa hai
zar dam-diram ka bhanDa hai banduq sipar aur khanDa hai
jab nayak tan ka nikal gaya jo mulkon mulkon hanDa hai
phir hanDa hai na bhanDa hai na halwa hai na manDa hai
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
jab chalte chalte raste mein ye gaun teri rah jawegi
ek badhiya teri miTTi par phir ghas na charne aawegi
ye khep jo tu ne ladi hai sab hisson mein baT jawegi
dhi put janwai beTa kya banjaran pas na aawegi
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
ye khep bhare jo jata hai ye khep miyan mat gin apni
ab koi ghaDi pal sa'at mein ye khep badan ki hai kafani
kya thaal kaTori chandi ki kya pital ki Dibya-Dhakni
kya bartan sone chandi ke kya miTTi ki hanDiya chini
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chale ga banjara
ye dhum-dhaDakka sath liye kyun phirta hai jangal jangal
ek tinka sath na jawega mauquf hua jab ann aur jal
ghar-bar aTari chaupari kya KHasa nain-sukh aur malmal
chalwan parde farsh nae kya lal palang aur rang-mahal
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kuchh kaam na aawega tere ye lal-o-zamurrad sim-o-zar
jab punji baT mein bikhregi har aan banegi jaan upar
naubat naqqare ban nishan daulat hashmat faujen lashkar
kya masnad takiya mulk makan kya chauki kursi taKHt chhatar
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kyun ji par bojh uThata hai in gaunon bhaari bhaari ke
jab maut ka Dera aan paDa phir dune hain byopari ke
kya saz jaDao zar-zewar kya goTe than kanari ke
kya ghoDe zin sunahri ke kya hathi lal amari ke
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
mafrur na ho talwaron par mat phul bharose Dhaalon ke
sab paTTa toD ke bhagenge munh dekh ajal ke bhaalon ke
kya Dabbe moti hiron ke kya Dher KHazane malon ke
kya bughche tash moshajjar ke kya taKHte shaal doshaalon ke
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
kya saKHt makan banwata hai KHam tere tan ka hai pola
tu unche coat uThata hai wan gor gaDhe ne munh khola
kya reni KHandaq rand baDe kya brij kangura anmola
gaDh coat rahakla top qila kya shisha daru aur gola
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
har aan nafa aur ToTe mein kyun marta phirta hai ban ban
Tak ghafil dil mein soch zara hai sath laga tere dushman
kya launDi bandi dai dawa kya banda chela nek-chalan
kya mandar masjid tal kuan kya kheti baDi phul chaman
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
jab marg phira kar chabuk ko ye bail badan ka hankega
koi naj sameTega tera koi gaun siye aur Tankega
ho Dher akela jangal mein tu KHak lahad ki phankega
us jangal mein phir aah 'nazir' ek tinka aan na jhankega
sab ThaTh paDa rah jawega jab lad chalega banjara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.