ek-ādh saal se hai fazā mulk kī kuchh aur
ġhālib sadī ke baad hai gāñdhī sadī kā daur
gāñdhī ko kaun aisā hai jo jāntā na ho
izzat ke saath un ko baḌā māntā na ho
baapū to un ko pyaar se kahte haiñ aaj bhī
har dil pe sach jo pūchhiye hai un kā raaj bhī
dam se unhīñ ke daur-e-ġhulāmī huā tamām
āsānī meñ badal gayā dushvār thā jo kaam
us rahbar-e-azīm ne ham ko vo bal diye
añgrez mulk chhoḌ ke ḳhāmosh chal diye
sach aur us ke saath ahinsā kī dhuum hai
duniyā kā ab samādhī pe un kī hujūm hai
har shaḳhs sar-nigūñ hai baḌe ehtirām se
'ādil' ye qadr hotī hai be-laus kaam se
ek-adh sal se hai faza mulk ki kuchh aur
ghaalib sadi ke baad hai gandhi sadi ka daur
gandhi ko kaun aisa hai jo jaanta na ho
izzat ke sath un ko baDa manta na ho
bapu to un ko pyar se kahte hain aaj bhi
har dil pe sach jo puchhiye hai un ka raj bhi
dam se unhin ke daur-e-ghulami hua tamam
aasani mein badal gaya dushwar tha jo kaam
us rahbar-e-azim ne hum ko wo bal diye
angrez mulk chhoD ke KHamosh chal diye
sach aur us ke sath ahinsa ki dhum hai
duniya ka ab samadhi pe un ki hujum hai
har shaKHs sar-nigun hai baDe ehtiram se
'adil' ye qadr hoti hai be-laus kaam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.