magar zulm ke KHilaf
ham amn chāhte haiñ magar zulm ke ḳhilāf
gar jañg lāzmī hai to phir jañg hī sahī
zālim ko jo na roke vo shāmil hai zulm meñ
qātil ko jo na Toke vo qātil ke saath hai
ham sar-ba-kaf uThe haiñ ki haq fata.h-yāb ho
kah do use jo lashkar-e-bātil ke saath hai
is Dhañg par hai zor to ye Dhañg hī sahī
zālim kī koī zaat na maz.hab na koī qaum
zālim ke lab pe zikr bhī in kā gunāh hai
phaltī nahīñ hai shāḳh-e-sitam is zamīn par
tārīḳh jāntī hai zamāna gavāh hai
kuchh kor-bātinoñ kī nazar tañg hī sahī
ye zar kī jañg hai na zamīnoñ kī jañg hai
ye jañg hai baqā ke usūloñ ke vāste
jo ḳhuun ham ne nazr diyā hai zamīn ko
vo ḳhuun hai gulāb ke phūloñ ke vāste
phūTegī sub.h-e-amn lahū-rañg hī sahī
hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
zalim ko jo na roke wo shamil hai zulm mein
qatil ko jo na Toke wo qatil ke sath hai
hum sar-ba-kaf uThe hain ki haq fatah-yab ho
kah do use jo lashkar-e-baatil ke sath hai
is Dhang par hai zor to ye Dhang hi sahi
zalim ki koi zat na mazhab na koi qaum
zalim ke lab pe zikr bhi in ka gunah hai
phalti nahin hai shaKH-e-sitam is zamin par
tariKH jaanti hai zamana gawah hai
kuchh kor-baatinon ki nazar tang hi sahi
ye zar ki jang hai na zaminon ki jang hai
ye jang hai baqa ke usulon ke waste
jo KHun hum ne nazr diya hai zamin ko
wo KHun hai gulab ke phulon ke waste
phuTegi subh-e-amn lahu-rang hi sahi
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 239)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.