urdu zaban
urdu hamāre desh kī shīrīñ zabān hai
tahzīb kī hai vaz.a sharāfat kī jaan hai
ta.alīm-o-tarbiyat meñ aham is kā hai maqām
sher-o-suḳhan kī ruuh adab kī ye jaan hai
chhoḌā hai jab se is ko talaffuz bigaḌ gayā
ye har zabāñ kā juzv-e-bayāñ aur shaan hai
paidā huī ye hind meñ parvān bhī chaḌhī
phir kis liye kaho ye videshī zabān hai
maqbūl-e-ām bhī hai ye har-dil-azīz bhī
sach baat to ye hai ki ye sab kī zabān hai
ham is ke zauq se hue afsos munharif
āzādī kī tahrīk kī urdu hī jaan hai
āzād hind meñ na milā is ko kuchh maqām
ye māder-e-vatan ke shahīdoñ kī jaan hai
hālāñki rozgār kā zarīya nahīñ rahī
urdu paḌho paḌhāo ye apnī zabān hai
urdu hamare desh ki shirin zaban hai
tahzib ki hai waza sharafat ki jaan hai
talim-o-tarbiyat mein aham is ka hai maqam
sher-o-suKHan ki ruh adab ki ye jaan hai
chhoDa hai jab se is ko talaffuz bigaD gaya
ye har zaban ka juzw-e-bayan aur shan hai
paida hui ye hind mein parwan bhi chaDhi
phir kis liye kaho ye wideshi zaban hai
maqbul-e-am bhi hai ye har-dil-aziz bhi
sach baat to ye hai ki ye sab ki zaban hai
hum is ke zauq se hue afsos munharif
aazadi ki tahrik ki urdu hi jaan hai
aazad hind mein na mila is ko kuchh maqam
ye mader-e-watan ke shahidon ki jaan hai
haalanki rozgar ka zariya nahin rahi
urdu paDho paDhao ye apni zaban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.