mera kamre se bas nindon ka rishta tha
mirā kamre se bas nīñdoñ kā rishta thā
aur us ziine se ḳhvāboñ kā
jo lahrātā huā jaatā thā chhat tak
vo chhat
jahāñ se āsmāñ nazdīk thā
jahāñ ārām farmātī thiiñ āñkheñ
vo āñkheñ jin meñ sapne the
vo sapne jin meñ duniyā thī
vo duniyā jis meñ sab kuchh thā
vahī chhat
jahāñ par ek chiḌiyā kī surīlī chahchahāhaT thī
patangoñ kī sajāvaT thī
falak kī jhilmilāhaT thī
magar afsos
vo chiḌiyā jo savere ghar meñ sabse pahle uThtī thī
kise mā'lūm thā ik din vo zer-e-dām aa.egī
patang-e-kāġhazī jo āsmāñ chhūne hī vaalī thī
kise mā'lūm thā vo lauT kar nākām aa.egī
falak jis par tamannāoñ ke kitne chāñd raushan the
kise mā'lūm thā us par amāvas kī bhī koī shaam aa.egī
vo chhat jo ghar kā sabse pur-sukūñ aur pyārā hissa thī
kise mā'lūm thā vo ḳhud-kushī ke kaam aa.egī
mera kamre se bas nindon ka rishta tha
aur us zine se KHwabon ka
jo lahraata hua jata tha chhat tak
wo chhat
jahan se aasman nazdik tha
jahan aaram farmati thin aankhen
wo aankhen jin mein sapne the
wo sapne jin mein duniya thi
wo duniya jis mein sab kuchh tha
wahi chhat
jahan par ek chiDiya ki surili chahchahahaT thi
patangon ki sajawaT thi
falak ki jhilmilahaT thi
magar afsos
wo chiDiya jo sawere ghar mein sabse pahle uThti thi
kise ma'lum tha ek din wo zer-e-dam aaegi
patang-e-kaghazi jo aasman chhune hi wali thi
kise ma'lum tha wo lauT kar nakaam aaegi
falak jis par tamannaon ke kitne chand raushan the
kise ma'lum tha us par amawas ki bhi koi sham aaegi
wo chhat jo ghar ka sabse pur-sukun aur pyara hissa thi
kise ma'lum tha wo KHud-kushi ke kaam aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.