pahli baat hi aaKHiri thi
pahlī baat hī āḳhirī thī
is se aage baḌhī nahīñ
Darī huī koī bel thī jaise
puure ghar pe chaḌhī nahīñ
Dar hī kyā thā kah dene meñ
khul kar baat jo dil meñ thī
ās-pās koī aur nahīñ thā
shaam thī na.ī mohabbat kī
ek jhijak sī saath rahī kyuuñ
qurb kī sā.at-e-hairāñ meñ
had se aage baḌhne kī
phail ke us tak jaane kī
us ke ghar par chaḌhne kī
pahli baat hi aaKHiri thi
is se aage baDhi nahin
Dari hui koi bel thi jaise
pure ghar pe chaDhi nahin
Dar hi kya tha kah dene mein
khul kar baat jo dil mein thi
aas-pas koi aur nahin tha
sham thi nai mohabbat ki
ek jhijak si sath rahi kyun
qurb ki saat-e-hairan mein
had se aage baDhne ki
phail ke us tak jaane ki
us ke ghar par chaDhne ki
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 681)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.