taj-mahal
āgara shahr meñ mohabbat kā
ek mīnār jagmagātā hai
log kahte haiñ jis ko tāj-mahal
mere dil ko bahut lubhātā hai
raushnī phūTtī hai jaalī se
baaġh meñ phuul muskurāte haiñ
log pahlū meñ baiTh kar us ke
haa.e kitnā sukūn paate haiñ
ruuh jis meñ nahīñ pa hai zinda
tum na maano magar haqīqat hai
vaqt dhuñdlā na kar sakā jis ko
ye mohabbat kī vo imārat hai
kurra-e-arz par ajūba hai
kaise inkār ho vadī.at se
faḳhr hindostāñ ko hai is par
taaj ko dekhiye aqīdat se
dekhnā ho kabhī to aa jaanā
dars vo kis tarah se dete haiñ
chāhne vaale taaj meñ 'bismil'
aks-e-mahbūb dekh lete haiñ
aagara shahr mein mohabbat ka
ek minar jagmagata hai
log kahte hain jis ko taj-mahal
mere dil ko bahut lubhata hai
raushni phuTti hai jali se
bagh mein phul muskuraate hain
log pahlu mein baiTh kar us ke
hae kitna sukun pate hain
ruh jis mein nahin pa hai zinda
tum na mano magar haqiqat hai
waqt dhundla na kar saka jis ko
ye mohabbat ki wo imarat hai
kurra-e-arz par ajuba hai
kaise inkar ho wadiat se
faKHr hindostan ko hai is par
taj ko dekhiye aqidat se
dekhna ho kabhi to aa jaana
dars wo kis tarah se dete hain
chahne wale taj mein 'bismil'
aks-e-mahbub dekh lete hain
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 107)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.