nazm
qais ne ishq kiyā
par shā.erī nahīñ kī
us ne lailā kī bāteñ
havāoñ se bagūloñ se daraḳhtoñ se aur beloñ se
phūloñ se aur ḳhushbū se kiiñ
qais ne ishq kiyā
aur apne ishq meñ qudrat ko shāmil kiyā
maiñ ne shā.erī kī
merī shā.erī meñ bhī havā.eñ bagūle daraḳht beleñ phuul
aur ḳhushbū shāmil haiñ
tab maiñ ne ishq nahīñ kiyā
maiñ ne jab ishq kiyā
to is meñ shāmil hue
tohfe mulāqāt ke tai-shuda vaqt āzmā.ish an-chāhe log
aur vo saarī duniyāvī chīzeñ
jo kabhī mohabbat kī dalīl nahīñ ho saktīñ
qais ne ishq kiya
par shaeri nahin ki
us ne laila ki baaten
hawaon se bagulon se daraKHton se aur belon se
phulon se aur KHushbu se kin
qais ne ishq kiya
aur apne ishq mein qudrat ko shamil kiya
main ne shaeri ki
meri shaeri mein bhi hawaen bagule daraKHt belen phul
aur KHushbu shamil hain
tab main ne ishq nahin kiya
main ne jab ishq kiya
to is mein shamil hue
tohfe mulaqat ke tai-shuda waqt aazmaish an-chahe log
aur wo sari duniyawi chizen
jo kabhi mohabbat ki dalil nahin ho saktin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.