ishq aur maut
Interesting Fact
( ماخو ذ از ٹيني سن (بانگ درا)
suhānī numūd-e-jahāñ kī ghaḌī thī
tabassum-fashāñ zindagī kī kalī thī
kahīñ muhr ko tāj-e-zar mil rahā thā
atā chāñd ko chāñdnī ho rahī thī
siyah pairahan shaam ko de rahe the
sitāroñ ko ta.alīm-e-tābindagī thī
kahīñ shāḳh-e-hastī ko lagte the patte
kahīñ zindagī kī kalī phūTtī thī
farishte sikhāte the shabnam ko ronā
hañsī gul ko pahle-pahal aa rahī thī
atā dard hotā thā shā.ir ke dil ko
ḳhudī tishna-kām mai-e-be-ḳhudī thī
uThī avval avval ghaTā kaalī kaalī
koī huur choTī ko khole khaḌī thī
zamīñ ko thā da.avā ki maiñ āsmāñ huuñ
makāñ kah rahā thā ki maiñ lā-makāñ huuñ
ġharaz is qadar ye nazāra thā pyārā
ki nazārgī ho sarāpā nazārā
malak āzmāte the parvāz apnī
jabīnoñ se nūr-e-azal āshkārā
farishta thā ik ishq thā naam jis kā
ki thī rahbarī us kī sab kā sahārā
farishta ki putlā thā be-tābiyoñ kā
malak kā malak aur paare kā paarā
pa.e sair firdaus ko jā rahā thā
qazā se milā raah meñ vo qazā-rā
ye pūchhā tirā naam kyā kaam kyā hai
nahīñ aañkh ko diid terī gavārā
huā sun ke goyā qazā kā farishta
ajal huuñ mirā kaam hai āshkārā
uḌātī huuñ maiñ raḳht-e-hastī ke purze
bujhātī huuñ maiñ zindagī kā sharārā
mirī aañkh meñ jādū-e-nīstī hai
payām-e-fanā hai usī kā ishārā
magar ek hastī hai duniyā meñ aisī
vo ātish hai maiñ sāmne us ke paarā
sharar ban ke rahtī hai insāñ ke dil meñ
vo hai nūr-e-mutlaq kī āñkhoñ kā taarā
Tapaktī hai āñkhoñ se ban ban ke aañsū
vo aañsū ki ho jin kī talḳhī gavārā
sunī ishq ne guftugū jab qazā kī
hañsī us ke lab par huī āshkārā
girī is tabassum kī bijlī ajal par
añdhere kā ho nuur meñ kyā guzārā
baqā ko jo dekhā fanā ho ga.ī vo
qazā thī shikār qazā ho ga.ī vo
suhani numud-e-jahan ki ghaDi thi
tabassum-fashan zindagi ki kali thi
kahin muhr ko taj-e-zar mil raha tha
ata chand ko chandni ho rahi thi
siyah pairahan sham ko de rahe the
sitaron ko talim-e-tabindagi thi
kahin shaKH-e-hasti ko lagte the patte
kahin zindagi ki kali phuTti thi
farishte sikhate the shabnam ko rona
hansi gul ko pahle-pahal aa rahi thi
ata dard hota tha shair ke dil ko
KHudi tishna-kaam mai-e-be-KHudi thi
uThi awwal awwal ghaTa kali kali
koi hur choTi ko khole khaDi thi
zamin ko tha dawa ki main aasman hun
makan kah raha tha ki main la-makan hun
gharaz is qadar ye nazara tha pyara
ki nazargi ho sarapa nazara
malak aazmate the parwaz apni
jabinon se nur-e-azal aashkara
farishta tha ek ishq tha nam jis ka
ki thi rahbari us ki sab ka sahaara
farishta ki putla tha be-tabiyon ka
malak ka malak aur pare ka para
pae sair firdaus ko ja raha tha
qaza se mila rah mein wo qaza-ra
ye puchha tera nam kya kaam kya hai
nahin aankh ko did teri gawara
hua sun ke goya qaza ka farishta
ajal hun mera kaam hai aashkara
uDati hun main raKHt-e-hasti ke purze
bujhati hun main zindagi ka sharara
meri aankh mein jadu-e-nisti hai
payam-e-fana hai usi ka ishaara
magar ek hasti hai duniya mein aisi
wo aatish hai main samne us ke para
sharar ban ke rahti hai insan ke dil mein
wo hai nur-e-mutlaq ki aankhon ka tara
Tapakti hai aankhon se ban ban ke aansu
wo aansu ki ho jin ki talKHi gawara
suni ishq ne guftugu jab qaza ki
hansi us ke lab par hui aashkara
giri is tabassum ki bijli ajal par
andhere ka ho nur mein kya guzara
baqa ko jo dekha fana ho gai wo
qaza thi shikar qaza ho gai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.