ek nau-jawan ke nam
Interesting Fact
(Bal-e-Jibril)
tire sofe haiñ afrañgī tire qālīñ haiñ īrānī
lahū mujh ko rulātī hai javānoñ kī tan-āsānī
imārat kiyā shikva-e-ḳhusravī bhī ho to kyā hāsil
na zor-e-haidarī tujh meñ na istiġhnā-e-salmānī
na DhūñD us chiiz ko tahzīb-e-hāzir kī tajallī meñ
ki paayā maiñ ne istiġhnā meñ merāj-e-musalmānī
uqābī ruuh jab bedār hotī hai javānoñ meñ
nazar aatī hai un ko apnī manzil āsmānoñ meñ
na ho naumīd naumīdī zavāl-e-ilm-o-irfāñ hai
umīd-e-mard-e-momin hai ḳhudā ke rāz-dānoñ meñ
nahīñ terā nasheman qasr-e-sultānī ke gumbad par
tū shāhīñ hai baserā kar pahāḌoñ kī chaTānoñ meñ
tere sofe hain afrangi tere qalin hain irani
lahu mujh ko rulati hai jawanon ki tan-asani
imarat kiya shikwa-e-KHusrawi bhi ho to kya hasil
na zor-e-haidari tujh mein na istighna-e-salmani
na DhunD us chiz ko tahzib-e-hazir ki tajalli mein
ki paya main ne istighna mein meraj-e-musalmani
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
na ho naumid naumidi zawal-e-ilm-o-irfan hai
umid-e-mard-e-momin hai KHuda ke raaz-danon mein
nahin tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
tu shahin hai basera kar pahaDon ki chaTanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.