uTho
uTho hind ke bāġhbāno uTho
uTho inqilābī javāno uTho
kisānoñ uTho kām-gāro uTho
na.ī zindagī ke sharāro uTho
uTho khelte apnī zanjīr se
uTho ḳhāk-e-bañgāl-o-kashmīr se
uTho vaadī o dasht o kohsār se
uTho sindh o punjab o malbār se
uTho mālve aur mevāt se
maharashtra aur gujrāt se
avadh ke chaman se chahakte uTho
guloñ kī tarah se mahakte uTho
uTho khul gayā parcham-e-inqalāb
nikaltā hai jis tarah se āftāb
uTho jaise dariyā meñ uThtī hai mauj
uTho jaise āñdhī kī baḌhtī hai fauj
uTho barq kī tarah hañste hue
kaḌakte garajte baraste hue
ġhulāmī kī zanjīr ko toḌ do
zamāne kī raftār ko moḌ do
uTho hind ke baghbano uTho
uTho inqilabi jawano uTho
kisanon uTho kaam-garo uTho
nai zindagi ke shararo uTho
uTho khelte apni zanjir se
uTho KHak-e-bangal-o-kashmir se
uTho wadi o dasht o kohsar se
uTho sindh o punjab o malbar se
uTho malwe aur mewat se
maharashtra aur gujraat se
awadh ke chaman se chahakte uTho
gulon ki tarah se mahakte uTho
uTho khul gaya parcham-e-inqalab
nikalta hai jis tarah se aaftab
uTho jaise dariya mein uThti hai mauj
uTho jaise aandhi ki baDhti hai fauj
uTho barq ki tarah hanste hue
kaDakte garajte baraste hue
ghulami ki zanjir ko toD do
zamane ki raftar ko moD do
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 329)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.