nau-jawan se
jalāl-e-ātish-o-barq-o-sahāb paidā kar
ajal bhī kaañp uThe vo shabāb paidā kar
tire ḳhirām meñ hai zalzaloñ kā raaz nihāñ
har ek gaam par ik inqalāb paidā kar
sadā-e-tīsha-e-mazdūr hai tirā naġhma
tū sañg-o-ḳhisht se chañg-o-rubāb paidā kar
bahut latīf hai ai dost teġh kā bosa
yahī hai jān-e-jahāñ is meñ aab paidā kar
tire qadam pe nazar aa.e mahfil-e-anjum
vo bāñkpan vo achhūtā shabāb paidā kar
tirā shabāb amānat hai saarī duniyā kī
tū ḳhār-zār-e-jahāñ meñ gulāb paidā kar
sukūn-e-ḳhāb hai be-dast-o-pā za.īfī kā
tū iztirāb hai ḳhud iztirāb paidā kar
na dekh zohd kī tū ismat-e-gunah-ālūd
gunah meñ fitrat-e-ismat-ma.āb paidā kar
tire jilau meñ na.ī jannateñ na.e dozaḳh
na.ī jazā.eñ anokhe azaab paidā kar
sharāb khīñchī hai sab ne ġharīb ke ḳhuuñ se
tū ab amiir ke ḳhuuñ se sharāb paidā kar
girā de qasr-e-tamaddun ki ik fareb hai ye
uThā de rasm-e-mohabbat azaab paidā kar
jo ho sake hameñ pāmāl kar ke aage baḌh
jo ho sake to hamārā javāb paidā kar
bahe zamīñ pe jo merā lahū to ġham mat kar
isī zamīñ se mahakte gulāb paidā kar
tū inqalāb kī aamad kā intizār na kar
jo ho sake to abhī inqalāb paidā kar
jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar
ajal bhi kanp uThe wo shabab paida kar
tere KHiram mein hai zalzalon ka raaz nihan
har ek gam par ek inqalab paida kar
sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma
tu sang-o-KHisht se chang-o-rubab paida kar
bahut latif hai ai dost tegh ka bosa
yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar
tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum
wo bankpan wo achhuta shabab paida kar
tera shabab amanat hai sari duniya ki
tu KHar-zar-e-jahan mein gulab paida kar
sukun-e-KHab hai be-dast-o-pa zaifi ka
tu iztirab hai KHud iztirab paida kar
na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud
gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar
tere jilau mein nai jannaten nae dozaKH
nai jazaen anokhe azab paida kar
sharab khinchi hai sab ne gharib ke KHun se
tu ab amir ke KHun se sharab paida kar
gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye
uTha de rasm-e-mohabbat azab paida kar
jo ho sake hamein pamal kar ke aage baDh
jo ho sake to hamara jawab paida kar
bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar
isi zamin se mahakte gulab paida kar
tu inqalab ki aamad ka intizar na kar
jo ho sake to abhi inqalab paida kar
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.