mulaqat
Interesting Fact
Written in Montgomery Jail in 1953.
ye raat us dard kā shajar hai
jo mujh se tujh se azīm-tar hai
azīm-tar hai ki is kī shāḳhoñ
meñ laakh mish.al-ba-kaf sitāroñ
ke kārvāñ ghar ke kho ga.e haiñ
hazār mahtāb is ke saa.e
meñ apnā sab nuur ro ga.e haiñ
The Meeting
A tree born of pain, this night,
greater in glory than you and I.
ye raat us dard kā shajar hai
jo mujh se tujh se azīm-tar hai
magar isī raat ke shajar se
ye chand lamhoñ ke zard patte
Greater in splendour,
for torch-bearing caravans
of myriad stars
trapped in its branches,
have vanished;
moons, in thousands,
in its darkness
surrendered their brilliance.
gire haiñ aur tere gesuoñ meñ
ulajh ke gulnār ho ga.e haiñ
isī kī shabnam se ḳhāmushī ke
ye chand qatre tirī jabīñ par
baras ke hiire piro ga.e haiñ
2
bahut siyah hai ye raat lekin
isī siyāhī meñ rūnumā hai
vo nahr-e-ḳhūñ jo mirī sadā hai
isī ke saa.e meñ nuur gar hai
vo mauj-e-zar jo tirī nazar hai
From this glorious night:
a tree born of pain,
a few moments: its yellowed leaves,
caught in your tresses
are a burning scarlet,
its silence: the dewdrops on your brow,
a diamond string.
vo ġham jo is vaqt terī bāñhoñ
ke gulsitāñ meñ sulag rahā hai
vo ġham jo is raat kā samar hai
kuchh aur tap jaa.e apnī aahoñ
kī aañch meñ to yahī sharar hai
(2)
Pitch dark is this night
but in the darkness dazzles
the blood-river
that is my voice,
your eyes: a sparkling gold,
create light.
har ik siyah shāḳh kī kamāñ se
jigar meñ TuuTe haiñ tiir jitne
jigar se noche haiñ aur har ik
kā ham ne tesha banā liyā hai
3
alam-nasīboñ jigar-figāroñ
kī sub.h aflāk par nahīñ hai
jahāñ pe ham tum khaḌe haiñ donoñ
sahar kā raushan ufuq yahīñ hai
yahīñ pe ġham ke sharār khil kar
shafaq kā gulzār ban ga.e haiñ
yahīñ pe qātil dukhoñ ke teshe
qatār andar qatār kirnoñ
ke ātishīñ haar ban ga.e haiñ
ye ġham jo is raat ne diyā hai
ye ġham sahar kā yaqīñ banā hai
yaqīñ jo ġham se karīm-tar hai
sahar jo shab se azīm-tar hai
The pain that seethes
in your verdant arms:
the fruit of this night,
swelled by its own agony,
can fuel into
a spark, a blaze.
ye raat us dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim-tar hai
azim-tar hai ki is ki shaKHon
mein lakh mishal-ba-kaf sitaron
ke karwan ghar ke kho gae hain
hazar mahtab is ke sae
mein apna sab nur ro gae hain
The Meeting
A tree born of pain, this night,
greater in glory than you and I.
ye raat us dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim-tar hai
magar isi raat ke shajar se
ye chand lamhon ke zard patte
Greater in splendour,
for torch-bearing caravans
of myriad stars
trapped in its branches,
have vanished;
moons, in thousands,
in its darkness
surrendered their brilliance.
gire hain aur tere gesuon mein
ulajh ke gulnar ho gae hain
isi ki shabnam se KHamushi ke
ye chand qatre teri jabin par
baras ke hire piro gae hain
2
bahut siyah hai ye raat lekin
isi siyahi mein runuma hai
wo nahr-e-KHun jo meri sada hai
isi ke sae mein nur gar hai
wo mauj-e-zar jo teri nazar hai
From this glorious night:
a tree born of pain,
a few moments: its yellowed leaves,
caught in your tresses
are a burning scarlet,
its silence: the dewdrops on your brow,
a diamond string.
wo gham jo is waqt teri banhon
ke gulsitan mein sulag raha hai
wo gham jo is raat ka samar hai
kuchh aur tap jae apni aahon
ki aanch mein to yahi sharar hai
(2)
Pitch dark is this night
but in the darkness dazzles
the blood-river
that is my voice,
your eyes: a sparkling gold,
create light.
har ek siyah shaKH ki kaman se
jigar mein TuTe hain tir jitne
jigar se noche hain aur har ek
ka hum ne tesha bana liya hai
3
alam-nasibon jigar-figaron
ki subh aflak par nahin hai
jahan pe hum tum khaDe hain donon
sahar ka raushan ufuq yahin hai
yahin pe gham ke sharar khil kar
shafaq ka gulzar ban gae hain
yahin pe qatil dukhon ke teshe
qatar andar qatar kirnon
ke aatishin haar ban gae hain
ye gham jo is raat ne diya hai
ye gham sahar ka yaqin bana hai
yaqin jo gham se karim-tar hai
sahar jo shab se azim-tar hai
The pain that seethes
in your verdant arms:
the fruit of this night,
swelled by its own agony,
can fuel into
a spark, a blaze.
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 248)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.