mazduron ka git
mehnat se ye maanā chuur haiñ ham
ārām se kosoñ duur haiñ ham
par laḌne par majbūr haiñ ham
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
go aafat o ġham ke maare haiñ
ham ḳhaak nahīñ haiñ taare haiñ
is jag ke rāj-dulāre haiñ
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
banñe kī tamannā rakhte haiñ
miTne kā kaleja rakhte haiñ
sarkash haiñ sar ūñchā rakhte haiñ
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
har chand ki haiñ adbār meñ ham
kahte haiñ khule bāzār meñ ham
haiñ sab se baḌe sansār meñ ham
mazdūr meñ ham mazdūr haiñ ham
jis samt baḌhā dete haiñ qadam
jhuk jaate haiñ shāhoñ ke parcham
sāvañt haiñ ham balvañt haiñ ham
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
go jaan pe lākhoñ baar banī
kar guzre magar jo jī meñ Thanī
ham dil ke khare bātoñ ke dhanī
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
ham kyā haiñ kabhī dikhlā deñge
ham nazm-e-kuhan ko Dhā deñge
ham arz-o-samā ko hilā deñge
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
ham jism meñ tāqat rakhte haiñ
sīnoñ meñ harārat rakhte haiñ
ham azm-e-baġhāvat rakhte haiñ
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
jis roz baġhāvat kar deñge
duniyā meñ qayāmat kar deñge
ḳhvāboñ ko haqīqat kar deñge
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
ham qabza kareñge daftar par
ham vaar kareñge qaisar par
ham TuuT paḌeñge lashkar par
mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham
mehnat se ye mana chur hain hum
aaram se koson dur hain hum
par laDne par majbur hain hum
mazdur hain hum mazdur hain hum
go aafat o gham ke mare hain
hum KHak nahin hain tare hain
is jag ke raj-dulare hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
banne ki tamanna rakhte hain
miTne ka kaleja rakhte hain
sarkash hain sar uncha rakhte hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
har chand ki hain adbar mein hum
kahte hain khule bazar mein hum
hain sab se baDe sansar mein hum
mazdur mein hum mazdur hain hum
jis samt baDha dete hain qadam
jhuk jate hain shahon ke parcham
sawant hain hum balwant hain hum
mazdur hain hum mazdur hain hum
go jaan pe lakhon bar bani
kar guzre magar jo ji mein Thani
hum dil ke khare baaton ke dhani
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum kya hain kabhi dikhla denge
hum nazm-e-kuhan ko Dha denge
hum arz-o-sama ko hila denge
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum jism mein taqat rakhte hain
sinon mein hararat rakhte hain
hum azm-e-baghawat rakhte hain
mazdur hain hum mazdur hain hum
jis roz baghawat kar denge
duniya mein qayamat kar denge
KHwabon ko haqiqat kar denge
mazdur hain hum mazdur hain hum
hum qabza karenge daftar par
hum war karenge qaisar par
hum TuT paDenge lashkar par
mazdur hain hum mazdur hain hum
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.