inqalab
ye kah rahī hai ishāroñ meñ gardish-e-gardūñ
ki jald ham koī saḳht inqalāb dekheñge
nizām-e-charḳh meñ dekheñge ik taġhayyur-e-ḳhās
sukūn-e-dahr meñ ik iztirāb dekheñge
ḳhudā ne chāhā to ab jald hī vatan vaale
vatan meñ apnā mission kāmyāb dekheñge
duā.eñ kī haiñ jo ahl-e-vatan ne ro ro kar
yaqīñ hai jald unheñ mustajāb dekheñge
zamāna aane hī vaalā hai jab ham ai zālim
tujhe bhī ḳhvār tujhe bhī ḳharāb dekheñge
bahut hī jald tire sar pe bhī ḳhudā kī qasam
ḳhudā kā qahr ḳhudā kā itaab dekheñge
tujhe bhī dekheñge majbūr-e-fāqa-o-aflās
tujhe bhī qaid-e-ġham-o-iztirāb dekheñge
tujhe bhī apnī tarah jald hī ba-fazl-e-ḳhudā
asīr-e-silsila-e-pech-o-tab dekheñge
tujhe bhī apnī tarah pā-e-band-e-nāla-o-āh
yuuñ hī majāl-e-tbāh-o-ḳharāb dekheñge
ravāñ-davāñ tujhe hindostāñ se so.e adam
ba-qalb-e-zār o ba-chashm-e-pur-āb dekheñge
ye dekhnā hai jo kuchh ham ko us meñ der nahīñ
bahut hī jald bahut hī shitāb dekheñge
ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun
ki jald hum koi saKHt inqalab dekhenge
nizam-e-charKH mein dekhenge ek taghayyur-e-KHas
sukun-e-dahr mein ek iztirab dekhenge
KHuda ne chaha to ab jald hi watan wale
watan mein apna mission kaamyab dekhenge
duaen ki hain jo ahl-e-watan ne ro ro kar
yaqin hai jald unhen mustajab dekhenge
zamana aane hi wala hai jab hum ai zalim
tujhe bhi KHwar tujhe bhi KHarab dekhenge
bahut hi jald tere sar pe bhi KHuda ki qasam
KHuda ka qahr KHuda ka itab dekhenge
tujhe bhi dekhenge majbur-e-faqa-o-aflas
tujhe bhi qaid-e-gham-o-iztirab dekhenge
tujhe bhi apni tarah jald hi ba-fazl-e-KHuda
asir-e-silsila-e-pech-o-tab dekhenge
tujhe bhi apni tarah pa-e-band-e-nala-o-ah
yun hi majal-e-tbah-o-KHarab dekhenge
rawan-dawan tujhe hindostan se soe adam
ba-qalb-e-zar o ba-chashm-e-pur-ab dekhenge
ye dekhna hai jo kuchh hum ko us mein der nahin
bahut hi jald bahut hi shitab dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.