inqalab-e-hind
bārhā dekhā hai tū ne āsmāñ kā inqalāb
khol aañkh aur dekh ab hindostāñ kā inqalāb
maġhrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar
inqalāb-e-hind hai saare jahāñ kā inqalāb
kar rahā hai qasr-e-āzādī kī buniyād ustuvār
fitrat-e-tifl-o-zan-o-pīr-o-javāñ kā inqalāb
sabr vaale chhā rahe haiñ jabr kī aqlīm par
ho gayā farsūda shamshīr-o-sināñ kā inqalāb
barha dekha hai tu ne aasman ka inqalab
khol aankh aur dekh ab hindostan ka inqalab
maghrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar
inqalab-e-hind hai sare jahan ka inqalab
kar raha hai qasr-e-azadi ki buniyaad ustuwar
fitrat-e-tifl-o-zan-o-pir-o-jawan ka inqalab
sabr wale chha rahe hain jabr ki aqlim par
ho gaya farsuda shamshir-o-sinan ka inqalab
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 230)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.