inqalab
chhoḌ de mutrib bas ab lillāh pīchhā chhoḌ de
kaam kā ye vaqt hai kuchh kaam karne de mujhe
terī tānoñ meñ hai zālim kis qayāmat kā asar
bijliyāñ sī gir rahī haiñ ḳhirman-e-idrāk par
ye ḳhayāl aatā hai rah rah kar dil-e-betāb meñ
bah na jā.ūñ phir tire naġhmāt ke sailāb meñ
chhoḌ kar aayā huuñ kis mushkil se maiñ jām-o-subū!
aah kis dil se kiyā hai maiñ ne ḳhūn-e-ārzū
phir shabistān-e-tarab kī raah dikhlātā hai tū
mujh ko karnā chāhtā hai phir ḳharāb-e-rañg-o-bū
maiñ ne maanā vajd meñ duniyā ko lā saktā hai tū
maiñ ne ye maanā ġham-e-hastī miTā saktā hai tū
maiñ ne ye maanā ġham-e-hastī miTā saktā hai tū
maiñ ne maanā terī mausīqī hai itnī pur-asar
jhuum uThte haiñ farishte tak tire naġhmāt par
haañ ye sach hai zamzame tere machāte haiñ vo dhuum
jhuum jaate haiñ manāzir, raqs karte haiñ nujūm
tere hī naġhme se vābasta nashāt-e-zindagī
tere hī naġhme se kaif-o-imbisāt-e-zindagī
terī saut-e-sarmadī bāġh-e-tasavvuf kī bahār
tere hī naġhmoñ se be-ḳhud ābid-e-shab-zinda-dār
bulbuleñ naġhma-sarā haiñ terī hī taqlīd meñ
tere hī naġhmoñ se dhūmeñ mahfil-e-nāhīd meñ
mujh ko tere sehr-e-mausīqī se kab inkār hai
mujh ko tere lahn-e-dā.ūdī se kab inkār hai
bazm-e-hastī kā magar kyā rañg hai ye bhī to dekh
har zabāñ par ab salā-e-jañg hai ye bhī to dekh
farsh-e-gītī se sakūñ ab mā.il-e-parvāz hai
abr ke pardoñ meñ sāz-e-jañg kī āvāz hai
pheñk de ai dost ab bhī pheñk de apnā rubāb
uThne hī vaalā hai koī dam meñ shor-e-inqalāb
aa rahe haiñ jañg ke bādal vo mañDlāte hue
aag dāman meñ chhupā.e ḳhuun barsāte hue
koh-o-sahrā meñ zamīñ se ḳhuun ublegā abhī
rañg ke badle guloñ se ḳhuun Tapkegā abhī
baḌh rahe haiñ dekh vo mazdūr darrāte hue
ik junūñ-añgez lai meñ jaane kyā gaate hue
sar-kashī kī tund āñdhī dam-ba-dam chaḌhtī huī
har taraf yalġhār kartī har taraf baḌhtī huī
bhuuk ke maare hue insāñ kī fariyādoñ ke saath
fāqa-mastoñ ke jilau meñ ḳhāna-barbādoñ ke saath
ḳhatm ho jā.egā ye sarmāya-dārī kā nizām
rañg laane ko hai mazdūroñ kā josh-e-intiqām
gir paḌeñge ḳhauf se aivān-e-ishrat ke sutūñ
ḳhuun ban jā.egī shīshoñ meñ sharāb-e-lāla-gūñ
ḳhuun kī bū le ke jañgal se havā.eñ ā.eñgī
ḳhuuñ hī ḳhuuñ hogā nigāheñ jis taraf bhī jā.eñgī
jhoñpaḌoñ meñ ḳhūñ, mahal meñ ḳhūñ, shabistānoñ meñ ḳhuuñ
dasht meñ ḳhūñ, vādiyoñ meñ ḳhūñ, bayābānoñ meñ ḳhuuñ
pur-sukūñ sahrā meñ ḳhūñ, betāb dariyāoñ meñ ḳhuuñ
dair meñ ḳhūñ, masjid meñ ḳhūñ, kalīsāoñ meñ ḳhuuñ
ḳhuun ke dariyā nazar ā.eñge har maidān meñ
Duub jā.eñgī chaTāneñ ḳhuun ke tūfān meñ
ḳhuun kī rañgīniyoñ meñ Duub jā.egī bahār
reg-e-sahrā par nazar ā.eñge lākhoñ lāla-zār
ḳhuun se rañgīñ fazā-e-bostāñ ho jā.egī
nargis-e-maḳhmūr chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho jā.egī
kohsāroñ kī taraf se ''surḳh-āñdhī'' aa.egī
jā-ba-jā ābādiyoñ meñ aag sī lag jā.egī
toḌ kar beḌī nikal ā.eñge zindāñ se asiir
bhuul jā.eñge ibādat ḳhānqāhoñ meñ faqīr
hashr-dar-āġhosh ho jā.egī duniyā kī fazā
dauḌtā hogā har ik jānib farishta maut kā
surḳh hoñge ḳhuun ke chhīñToñ se bām-o-dar tamām
ġharq hoñge ātishīñ malbūs meñ manzar tamām
is tarah legā zamāna jañg kā ḳhūnīñ sabaq
āsmāñ par ḳhaak hogī, farq par rañg-e-shafaq
aur is rañg-e-shafaq meñ bā-hazārāñ āb-o-tāb!
jagmagā.egā vatan kī hurriyat kā āftāb
chhoD de mutrib bas ab lillah pichha chhoD de
kaam ka ye waqt hai kuchh kaam karne de mujhe
teri tanon mein hai zalim kis qayamat ka asar
bijliyan si gir rahi hain KHirman-e-idrak par
ye KHayal aata hai rah rah kar dil-e-betab mein
bah na jaun phir tere naghmat ke sailab mein
chhoD kar aaya hun kis mushkil se main jam-o-subu!
aah kis dil se kiya hai main ne KHun-e-arzu
phir shabistan-e-tarab ki rah dikhlata hai tu
mujh ko karna chahta hai phir KHarab-e-rang-o-bu
main ne mana wajd mein duniya ko la sakta hai tu
main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu
main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu
main ne mana teri mausiqi hai itni pur-asar
jhum uThte hain farishte tak tere naghmat par
han ye sach hai zamzame tere machate hain wo dhum
jhum jate hain manazir, raqs karte hain nujum
tere hi naghme se wabasta nashat-e-zindagi
tere hi naghme se kaif-o-imbisat-e-zindagi
teri saut-e-sarmadi bagh-e-tasawwuf ki bahaar
tere hi naghmon se be-KHud aabid-e-shab-zinda-dar
bulbulen naghma-sara hain teri hi taqlid mein
tere hi naghmon se dhumen mahfil-e-nahid mein
mujh ko tere sehr-e-mausiqi se kab inkar hai
mujh ko tere lahn-e-daudi se kab inkar hai
bazm-e-hasti ka magar kya rang hai ye bhi to dekh
har zaban par ab sala-e-jang hai ye bhi to dekh
farsh-e-giti se sakun ab mail-e-parwaz hai
abr ke pardon mein saz-e-jang ki aawaz hai
phenk de ai dost ab bhi phenk de apna rubab
uThne hi wala hai koi dam mein shor-e-inqalab
aa rahe hain jang ke baadal wo manDlate hue
aag daman mein chhupae KHun barsate hue
koh-o-sahra mein zamin se KHun ublega abhi
rang ke badle gulon se KHun Tapkega abhi
baDh rahe hain dekh wo mazdur darraate hue
ek junun-angez lai mein jaane kya gate hue
sar-kashi ki tund aandhi dam-ba-dam chaDhti hui
har taraf yalghaar karti har taraf baDhti hui
bhuk ke mare hue insan ki fariyaadon ke sath
faqa-maston ke jilau mein KHana-barbaadon ke sath
KHatm ho jaega ye sarmaya-dari ka nizam
rang lane ko hai mazduron ka josh-e-intiqam
gir paDenge KHauf se aiwan-e-ishrat ke sutun
KHun ban jaegi shishon mein sharab-e-lala-gun
KHun ki bu le ke jangal se hawaen aaengi
KHun hi KHun hoga nigahen jis taraf bhi jaengi
jhonpaDon mein KHun, mahal mein KHun, shabistanon mein KHun
dasht mein KHun, wadiyon mein KHun, bayabanon mein KHun
pur-sukun sahra mein KHun, betab dariyaon mein KHun
dair mein KHun, masjid mein KHun, kalisaon mein KHun
KHun ke dariya nazar aaenge har maidan mein
Dub jaengi chaTanen KHun ke tufan mein
KHun ki ranginiyon mein Dub jaegi bahaar
reg-e-sahra par nazar aaenge lakhon lala-zar
KHun se rangin faza-e-bostan ho jaegi
nargis-e-maKHmur chashm-e-KHun-fishan ho jaegi
kohsaron ki taraf se surKH-andhi aaegi
ja-ba-ja aabaadiyon mein aag si lag jaegi
toD kar beDi nikal aaenge zindan se asir
bhul jaenge ibaadat KHanqahon mein faqir
hashr-dar-aghosh ho jaegi duniya ki faza
dauDta hoga har ek jaanib farishta maut ka
surKH honge KHun ke chhinTon se baam-o-dar tamam
gharq honge aatishin malbus mein manzar tamam
is tarah lega zamana jang ka KHunin sabaq
aasman par KHak hogi, farq par rang-e-shafaq
aur is rang-e-shafaq mein ba-hazaran aab-o-tab!
jagmagaega watan ki hurriyat ka aaftab
- Book : Aahang (Pg. 66)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.