inqalab
ai jān-e-naġhma jahāñ sogvār kab se hai
tire liye ye zamīñ be-qarār kab se hai
hujūm-e-shauq sar-e-rahguzār kab se hai
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
na tābnākī-e-ruḳh hai na kākuloñ kā hujūm
hai zarra zarra pareshāñ kalī kalī maġhmūm
hai kul jahāñ muta.affin havā.eñ sab masmūm
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
ruḳh-e-hayāt pe kākul kī barhamī hī nahīñ
nigār-e-dahr meñ andāz-e-maryamī hī nahīñ
masīh o ḳhizr kī kahne ko kuchh kamī hī nahīñ
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
hayāt-baḳhsh tarāne asiir haiñ kab se
gulū-e-zehra meñ paivast tiir haiñ kab se hai
qafas meñ band tire ham-safīr haiñ kab se
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
haram ke dosh pe uqbā kā daam hai ab tak
saroñ meñ diin kā saudā-e-ḳhām hai ab tak
tavahhumāt kā aadam ġhulām hai ab tak
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
abhī dimāġh pe qahbā-e-sīm-o-zar hai savār
abhī rukī hī nahīñ tesha-zan ke ḳhuun kī dhaar
shamīm-e-adl se mahkeñ ye kūcha o bāzār
guzar bhī jā ki tirā intizār kab se hai
ai jaan-e-naghma jahan sogwar kab se hai
tere liye ye zamin be-qarar kab se hai
hujum-e-shauq sar-e-rahguzar kab se hai
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
na tabnaki-e-ruKH hai na kakulon ka hujum
hai zarra zarra pareshan kali kali maghmum
hai kul jahan mutaffin hawaen sab masmum
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
ruKH-e-hayat pe kakul ki barhami hi nahin
nigar-e-dahr mein andaz-e-maryami hi nahin
masih o KHizr ki kahne ko kuchh kami hi nahin
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
hayat-baKHsh tarane asir hain kab se
gulu-e-zehra mein paiwast tir hain kab se hai
qafas mein band tere ham-safir hain kab se
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
haram ke dosh pe uqba ka dam hai ab tak
saron mein din ka sauda-e-KHam hai ab tak
tawahhumat ka aadam ghulam hai ab tak
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
abhi dimagh pe qahba-e-sim-o-zar hai sawar
abhi ruki hi nahin tesha-zan ke KHun ki dhaar
shamim-e-adl se mahken ye kucha o bazar
guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.