dawat-e-inqilab
kyā legā ḳhāk-e-murda-o-uftāda ban ke tū
tūfān ban ki hai tirī fitrat meñ inqalāb
kyuuñ TimTimā.e kirmak-e-shab-tāb kī tarah
ban saktā hai tū auj-e-falak par agar shahāb
vo ḳhaak ho ki jis meñ mileñ reza-hā-e-zar
vo sañg ban ki jis se nikalte haiñ la.al-e-nāb
chiḌiyoñ kī tarah daane pe girtā hai kis liye
parvāz rakh buland ki tū ban sake uqaab
vo chashma ban ki jis se hoñ sarsabz khetiyāñ
rah-rau ko tū fareb na de sūrat-e-sarāb
kya lega KHak-e-murda-o-uftada ban ke tu
tufan ban ki hai teri fitrat mein inqalab
kyun TimTimae kirmak-e-shab-tab ki tarah
ban sakta hai tu auj-e-falak par agar shahab
wo KHak ho ki jis mein milen reza-ha-e-zar
wo sang ban ki jis se nikalte hain lal-e-nab
chiDiyon ki tarah dane pe girta hai kis liye
parwaz rakh buland ki tu ban sake uqab
wo chashma ban ki jis se hon sarsabz khetiyan
rah-rau ko tu fareb na de surat-e-sarab
- Book : Intekhab Jadeed (Pg. 158)
- Author : All Ahmad Suroor & Aziz Ahmad
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.