bol
bol ki lab āzād haiñ tere
bol zabāñ ab tak terī hai
terā sutvāñ jism hai terā
bol ki jaañ ab tak terī hai
dekh ki āhan-gar kī dukāñ meñ
tund haiñ sho.ale surḳh hai aahan
khulne lage qufloñ ke dahāne
phailā har ik zanjīr kā dāman
bol ye thoḌā vaqt bahut hai
jism o zabāñ kī maut se pahle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kahnā hai kah le
Speak
Speak, your lips are free,
speak, your tongue is still yours,
your slim body is yours alone,
speak, this life is yours, still yours.
bol ki lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutwan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ki aahan-gar ki dukan mein
tund hain shoale surKH hai aahan
khulne lage quflon ke dahane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thoDa waqt bahut hai
jism o zaban ki maut se pahle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kahna hai kah le
Speak
Speak, your lips are free,
speak, your tongue is still yours,
your slim body is yours alone,
speak, this life is yours, still yours.
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.