nisar main teri galiyon ke
nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
jo koī chāhne vaalā tavāf ko nikle
nazar churā ke chale jism o jaañ bachā ke chale
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushād
ki sañg-o-ḳhisht muqayyad haiñ aur sag āzād
bahut hai zulm ke dast-e-bahāna-jū ke liye
jo chand ahl-e-junūñ tere nām-levā haiñ
bane haiñ ahl-e-havas mudda.ī bhī munsif bhī
kise vakīl kareñ kis se munsifī chāheñ
magar guzārne vāloñ ke din guzarte haiñ
tire firāq meñ yuuñ sub.h o shaam karte haiñ
bujhā jo rauzan-e-zindāñ to dil ye samjhā hai
ki terī maañg sitāroñ se bhar ga.ī hogī
chamak uThe haiñ salāsil to ham ne jaanā hai
ki ab sahar tire ruḳh par bikhar ga.ī hogī
ġharaz tasavvur-e-shām-o-sahar meñ jiite haiñ
giraft-e-sāya-e-dīvār-o-dar meñ jiite haiñ
yūñhī hamesha ulajhtī rahī hai zulm se ḳhalq
na un kī rasm na.ī hai na apnī riit na.ī
yūñhī hamesha khilā.e haiñ ham ne aag meñ phuul
na un kī haar na.ī hai na apnī jiit na.ī
isī sabab se falak kā gila nahīñ karte
tire firāq meñ ham dil burā nahīñ karte
gar aaj tujh se judā haiñ to kal baham hoñge
ye raat bhar kī judā.ī to koī baat nahīñ
gar aaj auj pe hai tāla-e-raqīb to kyā
ye chaar din kī ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
jo tujh se ahd-e-vafā ustuvār rakhte haiñ
ilāj-e-gardish-e-lail-o-nahār rakhte haiñ
nisar main teri galiyon ke ai watan ki jahan
chali hai rasm ki koi na sar uTha ke chale
jo koi chahne wala tawaf ko nikle
nazar chura ke chale jism o jaan bacha ke chale
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushad
ki sang-o-KHisht muqayyad hain aur sag aazad
bahut hai zulm ke dast-e-bahana-ju ke liye
jo chand ahl-e-junun tere nam-lewa hain
bane hain ahl-e-hawas muddai bhi munsif bhi
kise wakil karen kis se munsifi chahen
magar guzarne walon ke din guzarte hain
tere firaq mein yun subh o sham karte hain
bujha jo rauzan-e-zindan to dil ye samjha hai
ki teri mang sitaron se bhar gai hogi
chamak uThe hain salasil to hum ne jaana hai
ki ab sahar tere ruKH par bikhar gai hogi
gharaz tasawwur-e-sham-o-sahar mein jite hain
giraft-e-saya-e-diwar-o-dar mein jite hain
yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se KHalq
na un ki rasm nai hai na apni rit nai
yunhi hamesha khilae hain hum ne aag mein phul
na un ki haar nai hai na apni jit nai
isi sabab se falak ka gila nahin karte
tere firaq mein hum dil bura nahin karte
gar aaj tujh se juda hain to kal baham honge
ye raat bhar ki judai to koi baat nahin
gar aaj auj pe hai tala-e-raqib to kya
ye chaar din ki KHudai to koi baat nahin
jo tujh se ahd-e-wafa ustuwar rakhte hain
ilaj-e-gardish-e-lail-o-nahaar rakhte hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.