aaj ki raat
aaj kī raat sāz-e-dard na chheḌ
dukh se bharpūr din tamām hue
aur kal kī ḳhabar kise ma.alūm
dosh-o-fardā kī miT chukī haiñ hudūd
ho na ho ab sahar kise ma.alūm
zindagī hech! lekin aaj kī raat
ezdiyyat hai mumkin aaj kī raat
aaj kī raat sāz-e-dard na chheḌ
ab na dohrā fasāna-hā-e-alam
apnī qismat pe sogvār na ho
fikr-e-fardā utaar de dil se
umr-e-rafta pe ashk-bār na ho
ahd-e-ġham kī hikāyateñ mat pūchh
ho chukīñ sab shikāyateñ mat pūchh
aaj kī raat sāz-e-dard na chheḌ
aaj ki raat saz-e-dard na chheD
dukh se bharpur din tamam hue
aur kal ki KHabar kise malum
dosh-o-farda ki miT chuki hain hudud
ho na ho ab sahar kise malum
zindagi hech! lekin aaj ki raat
ezdiyyat hai mumkin aaj ki raat
aaj ki raat saz-e-dard na chheD
ab na dohra fasana-ha-e-alam
apni qismat pe sogwar na ho
fikr-e-farda utar de dil se
umr-e-rafta pe ashk-bar na ho
ahd-e-gham ki hikayaten mat puchh
ho chukin sab shikayaten mat puchh
aaj ki raat saz-e-dard na chheD
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 49)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.